Friday, May 3, 2024
HomeTelanganaSecunderabad Railway Station mein Computerized Thermal Screening nasb

Secunderabad Railway Station mein Computerized Thermal Screening nasb

Hyderabad: 1 June se chalne wali khusoosi Trains ke sath, South Central Railway (SCR) ne Secunderabad Railway Station par Computerized thermal screening mashinen nasb ki hain taakay Trains mein sawaar honay se qabal musafiroun ki jaanch ki jasakay.

Dasti screening ke bar aks jahan ek guard infiradi musafiroun ke jismani daraja hararat ki jaanch karta hai, Ye Computerized thermal screening mashinen taizi se daraja hararat ka pata lagayen ge. Ohdedaroun ne kaha ke dasti alaat har musafir ko scan karne mein kaafi waqt lagatay hain, Kyunkay khusoosi Trains ka kaam shuru honay ke baad hazaroun afraad ki Secunderabad Railway station pounchanay ki tawaqqa ki jarahi hai.

Railway ke ek ohdedar ne kaha hai ke musafiroun ko pareshani se pak boarding faraham karne ke liye, Hum ne yahan 2 Computerized thermal screening laganay ka faisla kiya hai. Secunderabad Railway Station se chalne wali khusoosi Trains Secunderabad. Howrah special, Secunderabad – Danapur special, Secunderabad – Guntur special, Secunderabad – Hazrat Nizamuddin jabkay Hyderabad – nai Dehli khusoosi bhi yahan ruke gi.

Railway ke jari kardah rehnuma khutoot ke mutabiq Rail mein sawaar honay se  pehlay screening ki zaroorat hai aur sirf un hi musafiroun ko hi train mein daakhil honay ya sawaar honay ki ijazat hogi jin mein coronavirus ki koi aalamat nah payi jaye. Apni manzil maqsood par pounchanay par musafiroun ko is riyasat ke mashwaray ke mutabiq sahet ke protocol par amal pera hona padega aur Quarantine ki muddat bhi poori karna qawaid mein shaamil hai.

Thermal screening ke alawa musafiroun ko mask pahannay ke sath laazmi tor par jismani faasla bhi barqarar rakhna hoga. Ohdedaroun ne kaha hai ke Train ka safar shuru honay se pehlay tamam couches ki safai ki jaye gi aur wash Basin par sanitizer rakhay jayen ge. –YTN STAFF