Hyderabad: Secunderabad contentment board (SCB) ke ilaqoun may taqreeban 324 ghair qanuni Telecom towers moujood hai jo k ek janib SCB ki aamdani ko nuqsaan pouncha rahay hain to doosri janib 42 kilometer ke ahatay par moujood is ilaqay mein basnay walay awam ke liye sahet ke sangeen khatraat ko bhi badha rahay hain. SCB hukkaam ke mutabiq Telecom company aur maalik makaan ke darmiyan muahiday ke tehat makaan ya imarat ki chath par Telecom tower nasb kardiya jata hai jis se maalik makaan ko mahana 15 taa 60 hazaar rupay kiraya haasil ho raha hai jo ghair majaz tareeqay se haasil ki jane wali aamdani hai .
Telecom companiyon aur awam ke darmiyan muahiday ke tehat nasb kiye jany walay Telecom towers se ek janib SCB ki aamdani ko nuqsaan ho raha hai to doosri janib awam ki sahet ko bhi masail darpaish hain. qaida ke mutabiq Telecom company aur jis makaan ya imarat par Telecom tower nasb kiya jata hai is ke liye SCB ke hukkaam se no objection certificate ( NOC ) haasil karni hoti hai jis ke zariye ek janib jahan SCB ke hukkaam awam ki sahet ka khayaal rakhtay hue maqamat ki nishandahi karte hain to wahein SCB ki fees bhi Telecom companiyon ko ada karni hoti hai lekin is ke baraks Telecom companiyon ki janib se raast maalik makaan se rabita karte hue ghar par Telecom tower nasb kar diya ja raha hai jis se ek janib SCB ki aamdani ko nuqsaan to doosri janib awam ki sahet ko bhi nuqsaan ho raha hai .
SCB ke joint executive officer Ram Sarop ne is is mauzo par izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke ghair qanooni Telecom towers baaz aisay maqamat par bhi nasb kar diye jarahay hain jis se awam ko sahet ke alawa amad wo raft ke masail bhi paeda kar rahay hain lehaza hum ne 42 kilometer taweel SCB ke hudood mein ghair qanooni Telecom towers ka survey karwaya hai jis ke baad 134 maqamat par 324 ghair qanooni Telecom tower ki nishandahi ki gayi hai ab is ke baad Telecom companiyon aur imarat ke maalik ke khilaaf notice jari ki jayen gi phir agay ki karwai ki jaye. –YTN STAFF