Sunday, April 28, 2024
HomeHyderabadSecunderabad ko nazar andaaz karne ki shikayat

Secunderabad ko nazar andaaz karne ki shikayat

Hyderabad: Shehar mein ek hafta qabal honay wali mosla dhaar barish ne Hyderabad aur Secunderabad ke bohat se mutasirah ilaqon mein se ek hai aur jab imdaad ki baat aati hai to sab se ziyada nazar andaaz usay ilaqay ko kiya jata hai. mutadid hisson ko jheelon mein tabdeel kardiya hai aur darjanon makanaat hanooz pani mein mahsor hain makeeno ka daawa hai Secunderabad Containment Board ( SCB ) ilaqay mein selaab ki sorat-e-haal se nimatnay ke liye reyasti hukoomat se khusoosi madad talabb kar raha hai.

SCB hukkaam ke mutabiq SC ka taqreeban nisf hissa jis mein 7 mukhtalif Wards mein 2 lakh se ziyada afraad abad hain yeh ilaqay selaab se buri terhan mutasir hue hain. Bohat se nashebi ilaqon ki kayi Colonies pani mein doob gayeen, Aur bijli ki musalsal adam farahmi ne rahaishion ko ghanton andheray mein rehne par majboor kar diya hai. Kachi abadiyaan tabah hogai aur un ke rehaishi be ghar hogaye. Hukkaam ne kaha hai ke selaab ki wajah se SC ke ilaqay mein 90 se 100 crore rupay se zayed ka nuqsaan huwa hai. Agarchay tamam Wards ko selaab ne apni tabah kariyon ka nishana banaya hai taham sab se ziyada mutasirah ilaqon Kokatpally, Bowenpally, Rasoolpura aur Laxmi Colony hain.

Ward 4 ke rehaishi G Srawan Kumar ne kaha ke selaab ke baais Ward mein bohat saari Colonies zair aabb hain. Unhoun ne kaha jab SCB ke ohdedaron ne hamari darkhwaston par koi karwai nahi ki to hum ne pani ki nikasi ke liye bijli se chalne wali Motors kharidne ke liye paisa lagaya. Ek samaji karkun aur Secunderabad Welfare Organization ke sadar Sitish ne kaha ke nazar andaaz kiye gaya hai, baarisho ke shuru hue 10 din se ziyada ka arsa hochuka hai aur ward 5 ke kuch ilaqay mukammal andheray mein hain. Ab pani kam hochuka hai aur taiz barish nahi hui hai. Is ke bawajood yeh ke hamaray ilaqay mein bijli bahaal nahi ho saki hai.

Media se baat karte hue SCB ke Chief Executive Officer Ajit Reddy ne kaha, Selaab ne bijli ke nizaam ko darham barham kardiya hai aur hum ne is ki bahaali ka aaghaz kardiya hai. Sadkon, Naalon aur deegar sarkari amlaak ko bada nuqsaan pouncha hai. Agarchay beshtar maqamat mein pani kam hogaya hai. Hum mamool ki bahaali ke liye apni poori koshish kar rahay hain lekin haqeeqat yeh hai ke GHMC ke bar aks, Hamaray paas alaat, Afradi qowat aur funds ke muamlay mein hamaray paas munasib wasail mojood nahi hain. Chunkay hamaray paas koi bachao team nahi hai is liye hum ne muqami logon ke sath hum ahangi ki hai taakay raahat kaari ke kaam aasani se anjaam diye ja sakain.

Reyasti hukoomat se madad talabb karte hue SCB ke CEO ne kaha reyasti hukoomat ko dosray reyaston aur markaz se maali imdaad mil rahi hai. Hum bhi kuch madad chahtay hain taakay SCB ko apne paon par wapas khada kiya jasakay. Unhoun ne mazeed kaha SC mein selaab ki 2 ahem wajohaat najaaiz qabzay aur naaqis nikasi aabb ka nizaam hai.