Hyderabad: South Central Railway ( SCR ) ney yahan musafiroun ki thermal Image Screening ke liye Secunderabad aur Hyderabad Railway Stations mein Thermal Image Screening Camera lagaye. Bullet Thermal Image Screening Camera alaat Alarm Mechanism ke sath Thermal Screening Camera, Network video Recorder, LED Monitor par mushtamil hotay hain.
Un Thermal Screening Devices ki taenati har musafir ki Screening ke liye sirf honay walay waqt mein kami hojaye gi kyunkay device bak waqt 30 musafiroun ko apni hudood mein screen karsaktha hai. Jab bhi koi musafir camera focusing range mein daakhil hota hai. Jo kay dakhli rasta se taqreeban 6 meter ke faaslay par hai, Camera musafiroun ke jismani darjah hararat ki jaanch karna shuru kardaita hai. Musafir ka darjah hararat LED Monitor par coverage ke ilaqay mein 30 thermal tasaveer ke sath haqeeqi tasweer ke tor par dekhaya jata hai.
Camera ke zareya record kiye gaye musafiroun ke jismani daraja hararat ko LED screen par pegham ke tor par Alert Audio Alarm diya gaya hai. Dono Stations par nasb Camera bak waqt do mukhtalif kataroun mein khaday musafiroun ke daraja hararat ko scan aur record karne mein kamyaab hain. Agar zaroorat hoto zakheera shuda data ko bhi bazyaft kiya ja sakta hai. Ek thermal camera filhaal Secunderabad station ke Platform number 3 par gate number 1 par lagaya gaya hai. Hyderabad station ke markazi darwazay par aam booking area aur dosray camera ke qareeb nasb kiya gaya hai. Is haftay mein Secunderabad station par mazeed 2 camera laganay ka mansoobah hai. Musafiroun ki screening aur stations ke dakhli rastay par Bullet thermal image screening alaat ka operation railway ke security aur health wing ke zareya kiya ja raha hai. Fi camera ki kul laagat 4.4 laakh fi unit hai.