Sunday, May 19, 2024
HomeSliderSecretariat ko munhadim karne ka Media Coverage, Arzi ki samaat High Court...

Secretariat ko munhadim karne ka Media Coverage, Arzi ki samaat High Court ne jumaraat tak multawi kar di

Hyderabad: Telangana High Court ne Secretariat ki qadeem imaartoun ko munhadim karne ke amal ke Media Coverage ki khwahish karte hue daakhil kardah arzi ki samaat kal tak ke liye multawi kar di. Arzi guzar ne apni arzi mein kaha ke hukoomat is saaray amal ku raaz mein rakhna chahtee hai. Secretariat ke inhedam ke douran kiya ho raha hai kisi ko pata nahi hai. Awam ko is se media ke zareya waaqif karwane ki zaroorat hai.

Is par Bench ney rad-e-amal zahir karte hue hukoomat se is silsila mein sawal kiya aur poocha ke media ku Coverage ki ijazat kyun nahi di jarahi hai? Is par Advocate General ney High Court ko bataya ke inhedam ke douran Secretariat ke ihata mein kaafi ahthyat se kaam leya jaraha hai aur is amal ke douran kisi ko bhi andar jane ki ijazat nahi di jarahi hai kyunkay is se koi bhi haadsa honay ka khadsha hai. Is par High Court ney poocha ke aaya hukoomat apne tour par videos aur tasaveer le kar kyun media ko faraham nahi kar sakti. Is ka jawab dete hue Advocate General ney kaha ke wo hukoomat se is silsila mein mushawarat karen ge aur is ke faisla se adalat ko waaqif karwaen ge jis ke baad High Court ney is maamla ki samaat kal tak ke liye multawi kar di.