Hyderabad : Hyderabad mein taleemi idaroun ka jab bhi tazkara hota hai to sab se pehlay Osmania university ka naam aata hai kyunkay yeh ek tareekhi aur shehar ki qadeem university hai lekin is ki khuli araazi par hukoomat ki nazar hai. Osmania university ki khuli araazi par hukoomat koi faidey-mand imarat taamer karne ya koi aur kaam karne ka mansoobah nahi rakhti balkay khuli araazi par kachray ka ambaar laganay ke alawa ab secreteriat ki imarat munhadim honay ke baad is ka malba Osmania university ke kisi hissay mein daalnay ka mansoobah bana rahi hai jis par Osmania university ke talba mein tashweesh payi jati hai.
Yeh pehla mauqa nahi hai ke hukoomat ki janib se Osmania university ki araazi par malba ya kachray ke ambaar daalnay ki koshish ki jarahi hai balkay maazi mein bhi GHMC nay Osmania university ki khuli araazi ke kisi hissay mein kachray ka dhair laganay ka mansoobah banaya tha lekin talba ki janib se shadeed ehtijaj ke baad yeh mansoobah khatam kar diya gaya tha.
Osmania university ki talba tanzeemon ke numaindon nay media se izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke yeh pehla mauqa nahi hai ke jab hukoomat ki nazar Osmania university ki khuli araazi par rahi ho balkay maazi mein GHMC nay lower tank band ke jawahar nagar ke kachray ke ilaqay ko university muntaqil karne ka mansoobah banaya tha lekin talba ki shadeed narazgi aur ehtijaj ke baad yeh mansoobah rok diya gaya tha lekin ab aisi khabrein aarahi hain ke riyasat-e-Telangana ki hukoomat secretariat ki moujooda imarat munhadim honay ke baad iska malba jo-ke hazaron tan mein hoga usay university ke kisi hissay mein daal dainay ka mansoobah rakhti hai. –YTN STAFF