Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadSecretariat imarat mein 2 Masajid, 1 mandir, church ki taameer hogi

Secretariat imarat mein 2 Masajid, 1 mandir, church ki taameer hogi

Hyderabad: Telangana ke wazeer-e-aala KCR nay haftay ke roz munaqidah ijlaas mein muslim mazhabi rehnumao ko is baat ka yaqeen dilaya ke reyasti hukoomat aindah assembly ijlaas ke baad naye Secretariat complex ke andar 2 Masajid , ek mandir aur ek church ka sang-e-bunyaad rakheygi.

All India majlis-e-ittehaad-ul-muslimeen ( AIMIM) ke sadar aur Hyderabad ke rukan-E-parliment Asaduddin Owaisi ki sarbarahi mein muslim mazhabi rehnumao ney Telangana ke wazeer-e-aala se camp office mein mulaqaat ki aur Secretariat mein munhadim masajid ki taamer-e-nou ka mutalba kiya.

Wazeer-e-aala ney wafad ko is baat ka taiqun diya ke ” mazhabi maqamat sarkari funds par taamer kiye jayenge, Har ek masjid 750 murabba gaz ( 1500 murabba gaz ) par taamer ki jayegi, jis mein imam quarter bhi shaamil hoga”.

Inhedam ke douran masajid ko honay walay nuqsaan ka aiteraaf karte hue wazeer-e-aala ney kaha ke naye Secretariat mein naye masajid ki taamer isi jagah par ki jayengi jahan woh purani imarat mein mojood thi aur is mein tamam tar sahuliyaat hongi. tamirati kaam mukammal honay ke baad naye masajid ko Telangana state waqf board ke hawalay kar diya jaye ga.

1500  murabba gaz par ek Mandir bhi taamer kiya jayega aur usay mehakma auqaaf ke hawalay kiya jayega. chunkay isaai bradari ki taraf se bhi mutalba kiya ja raha hai, lehaza Telangana hukoomat ek church bhi taamer karegi.

KCR nay mazeed kaha ke aaindah assembly ijlaas ke baad ek hi din mein Masajid , mandir aur church ka sang-e-bunyaad rakha jayega.

Wazeer-e-aala nay kaha ke 3 mazahab ke dhanchay rakhnay ka faisla is haqeeqat ki akkaasi ke liye liya gaya hai ke Telangana mazhabi rawadari par amal pera hai, “Ye ganga jamni tahazeeb ki alamat hai ”

KCR nay muslim rehnumao ko yaqeen dilaya ke reyasti hukoomat mazhabi rawadari ka paband banegi kyunkay woh tamam aqaed ke sath barabari ki bunyaad par sulook karne ke liye pur-azm hain. Wazeer-e-aala nay yeh bhi kaha ke Anees-ul-ghurba ki taameri  kaam ko tez kiya jayega, jo muslim yateem bachon ko panah deta hai aur unhen muft taleem muhayya karta hai. Unhon nay kaha ke Anees-ul-ghurba ka 80 feesad kaam pehlay hi mukammal hochuka hai aur iske liye mazeed 18 crore rupay darkaar hai, jo jald hi jari kar diye jayenge.

Wazeer-e-aala nay yaad dilaya ke reyasti hukoomat nay bain-ul-aqwami miyaar ke sath shehar Hyderabad mein ek Islami markaz qaim karne ka faisla kiya hai, jiske liye araazi bhi mukhtas ki gayi hai, taham wabai amraaz ki wajah se taamirati kaam mein takheer hogayi, taamer ki jagah jald hi shanakht honay ke sath hi kaam shuru kiya jayega.

KCR ne shehar ke atraaf wo aknaaf muslim qabrastanon ki zaroorat par zor diya aur ranga reddy, Medak azlaa ke collectors ne sarkari hidaayat par kuch jagahoun ki nishandahi bhi ki thi. Reyasti bhar may mutadid maqamat par 150-200 acres raqbay mein tadfeen ka intizam kiya jayega. Narayanpet collector ko bataya gaya tha ke woh zameen alot kare aur ek mutabadal Aashor-khanah taamer kare, jisay sadak ki chodai ke douran nuqsaan pohancha tha.

Mazeed, wazeer-e-aala KCR ne kaha ke urdu ko Telangana mein doosri sarkari zabaan tasleem kiya jayega, unhon ne kaha ke urdu zabaan ke tahaffuz ke liye mukhtalif programon ka ehtimaam kiya jayega. Unhon ne mazeed kaha ke urdu zabaan ke tahaffuz ke liye sarkari daftari zabaan commission banega aur commission mein urdu zabaan se wabsta ek naib sadar ka taqarrur bhi kya jayega.

Rukan-e-parliment Asaduddin Owaisi ke alawa wazeer-e-dakhla Mohammed Mahmood Ali, MLA Akbaruddin Owaisi, All India Muslim Personal Law Board member Maulana Mufti Khaleel Ahmed aur  secretary Maulana Khalid Saifullah Rahmani, Majlis Ulema-e-Deccan president Maulana Syed Qubul Badsha Shattari, Tameer-e-Millat vice-president Maulana Ziauddin Naiyer, Telangana Urdu Academy chairman Raheemuddin Ansari bhi maujood the.