Monday, May 6, 2024
HomeOthersHealthSchools ke ahatoun mein jald hi junk foods par pabandi ka imkaan

Schools ke ahatoun mein jald hi junk foods par pabandi ka imkaan

Hyderabad : Haliya dinoun mein UNICEF ki janib se ek tehqeeqi report manzar-e-aam par aayi thi jis mein duniya bhar ke bachoun ko taghzia bakhash ghiza faraham nah honay par tashweesh ka izhaar kiya gaya tha aur ab schoolon mein talba ko junk food se door rakhnay ke iqdamaat kiye jarahay hain.

Bachon ko khanay peenay aur sahet mand bananay ke maqsad se food safety and standards authority of India ( FSSAI ) ney food safety and standards ( school ke bachon ke liye mehfooz khoraak aur sahet mand ghiza ke miyaar ) regulations 2019 ke unwan se musevida zawabit jari kiye hain.

Un qawaid wo zawabit mein yeh wazeh karne ke liye ek bunyadi khayaal hai ke bachon ke liye kiya sehat mand hai aur kiya nahi hai. tajweez kardah ek ahem qawaid mein yeh nakaat bhi shaamil hain ke charbi, namak aur sugar se ziyada lays khanay ki ashya bachon ko school canteen, school ke ahatay aur hostel ke kitchen mein ya school campus ke 50 meter ke andar farokht nahi ki ja sakti hain.

School aur college ke talba mein sahet mand ghizaoun ke farogh ke liye ek jame programme apnaana par zor diya gaya hai.

Muqami aur mousmi khaano par khusoosi tavajja markooz karte hue school ke campus co-ed right school mein tabdeel karne par tavajja markooz ki jarahi hai aur makshoos mayarat ke mutabiq kisi qisam ka khana zaya nahi hona chahiye isko bhi yakheeni bananay ki sae horahee hai.

Mutaliat ke mutabiq school ke taqreeban 8 feesad bachay motay hain. FSSAI ney yeh tajweez bhi pesh ki hai ke national institute of nutrition ke jari kardah rehnuma khutoot ke mutabiq bachon ko school mein mutawazan ghiza khanay ke liye housla afzai karni hogi. ghizaiyat ke mahireen waqtan foqtan meino ki tayari mein madad ke liye school ke sath taawun mein mashgool reh sakte hain. neez yeh bhi tajweez hai ke school ke ahatay ka baqaida muaina hona chahiye jahan talba ko mehfooz, sehat mand aur sahet bakhash khana pesh kiya jaye. FSSAI ney 30 din ke andar steak holders ki tajaweez aur aiterazaat talabb kiye hain taakay jald hi school talba ke liye mayaari ghizaon ke liye qawaid vo zawabit muta-arif kiye jasakain. –YTN STAFF