Friday, May 17, 2024
HomeSliderSchools aur Colleges ki 50% amlah ki sath kushadgi ke bawajood kayi...

Schools aur Colleges ki 50% amlah ki sath kushadgi ke bawajood kayi sawal baqi

Hyderabad: Riyasat bhar ke Schools aur Colleges ka aaghaz rawan hafta ziyada se ziyada 50% asateza aur deegar amlah ke sath huwa hai lekin awam mein virus ka khauf hanooz jari hai jis ki wajah se woh apne bachon ko talmi marakaz rawana karne mein hichkichahat ka shikaar hain. Mehakma taleem ne 21 September se ziyada se ziyada 50 feesad Teaching aur Non Teaching Staff ko Schools aur Colleges mein online teaching, Tele Counseling aur is se mutaliq kaam ke liye bulaya hai. Mehakma ki janib se Unlock 4 ke rehnuma khutoot Schools aur Colleges par nafiz hain jo sirf Containment Zone se baher hain.

Is ke mutabiq School intizamia ne tedrisi aur ghair tedrisi amlay ke kaam ki darja bandi ki hai. Intizamia ne mutabadil dinon mein asateza ko school ki khidmaat tafweez kar di gayi hai jabkay chand Colleges mein haazri Register kitaab ke mutabiq ki jarahi hai.

Asateza se online digital classes ke liye mawaad tayyar karne ke liye kaha gaya tha aur inhen yeh nighdasht karne ki hidayat di gayi thi ke aaya Dordarshan Yadagiri and T network channels ke zareya talba digital classes ko telecast kiya ja raha is mein talba ki shirkat bhi nazar rakhi jaye. Asateza se talba ki seekhnay ki satah ka andaza karne ke liye Work sheet tayyar karne ko kaha gaya.

Schools mein asateza ki ziyada se ziyada 50% haazri ke sath kaam shuru huwa hai. Asateza ko mutabadil dinon mein school ki duty tafweez kar di gayi hai. Asateza digital classes ki nigrani kar rahay hain, Phone par talba ke shukook-o-shubhat ko daur kar rahay hain aur talba ke liye work sheet tayyar kar rahay hain. Kuch Schools mein safai ke amlah ki kami ki wajah se safai ke masail ka saamna hai. Telangana State United asateza federation ke general secretary Chava Ravi ne kaha ke is maslay ko jald az jald hal karna chahiye.

Government Junior Colleges ne talba ko First Year Intermediate Course mein daakhil karna shuru kardiya hai. Smart phone rakhnay walon ke liye junior Lecturers Virtual classes ka ihtimaam kar rahay hain aur doosron ke liye Doordarshan Yadgaari channel ke zariye digital classes nashar ki jarahi hain.

Schools aur Colleges ka aaghaz 50% amlah ke sath huwa hai. Hukkaam ne kaha hai ke hum aisay talba ko Zoom App ke zariye online class day rahay hain jin ke paas smart phone hain. Talba ke shukook-o-shubhat ko daur karne ke liye WhatsApp aur SMS groups tashkeel diye gaye hain. Government junior college ke principal ke Krishna Kumar ne kaha digital classes ka schedule bhejnay ke ilawa talba ki asateza nigrani kar rahay hain ke aaya talba TV par aisi classes dekh rahay hain ya nahi.