Friday, May 17, 2024
HomeIndiaSchools aur Collages ke dobarah aaghaz 14 April ko faisla mutawaqqa

Schools aur Collages ke dobarah aaghaz 14 April ko faisla mutawaqqa

New Delhi: Markazi baraye farogh insani wasail Ramesh Pokhriyal ne kaha hai ke hukoomat mulk mein Coronavirus ki sorat e haal ka jaiza lainay ke baad Schools aur Colleges ke dobarah aaghaz ke baarey mein 14 April ko faisla keregi. Khabar rasan idaray ko Interview dete huve unhoun ne kaha ke talba aur asateza ka tahaffuz hukoomat ke liye intahi ahmiyat ka haamil hai aur un ki wizarat is baat ko yakeeni bananay ke liye tayyar hai ke agar Schools aur Colleges ko 14 April se bhi band rehne ki zaroorat hai to talba ko kisi qisam ka taleemi nuqsaan nah ho.

Is waqt faisla lena mushkil hai. Hum 14 April ko sorat e haal ka jaiza lenge aur halaat par munhasir hokar is baarey mein faisla liya jaye ga ke kya School aur College ab dobarah khole jasakte hain ya ziyada waqt ke liye band karna padega. Pokhriyal ne kaha ke mulk mein 34 Crore talba hain, Jo America ki abadi se ziyada hain. Wo hamara sab se bada khazana hai. Talba aur asateza ka tahaffuz hukoomat ke liye intahi ahmiyat ka haamil hai. 21 roza mulk geer Lockdown ka ekhtataam 14 April ko hoga.

Hukoomat ki taraf se aisay isharay miley hain ke lockdown mein towsee nahi ki jaye gi. Taham Lockdown ka elaan honay se pehlay hi Schools aur Colleges ki Classes ko pehlay hi moattal kardiya gaya tha lekin Classes pehlay hi mutadid sarkari Platform jaisay soyam ka istemaal karkay Online karaye jarahay hain. Wazeer ne mazeed kaha hai ke hum 14 April ke baad Schools aur Colleges ko band rakhnay ke liye zaroorat padney par talba ko kisi qisam ka taleemi nuqsaan nah honay ki yaqeen dehani ke liye tayyar hain. Mein Lockdown ke douran Schools aur Colleges ke zareya amal ke mansoobay ka baqaidagi se jaiza le raha hon. Pokhriyal ne kaha jaisay hi sorat e haal mein behtari anay aur Lockdown ko khatam karne ke baad zair iltiwa imtehanaat aur jaiza lainay ke liye bhi ek mansoobah tayyar hai. –YTN STAFF