Thursday, April 25, 2024
HomeSliderSchoolon mein talba ki haazri se qabal walidain ka tehreeri ijazat nama...

Schoolon mein talba ki haazri se qabal walidain ka tehreeri ijazat nama zaroori

Hyderabad: Covid-19 ke wabai amraaz ke peshe nazar taleemi idaroun ko dobarah kholne aur classes ke ineqad ke liye hifazati ikhdamat ke tamam zaroori karwaiyoun ki jarahai hai lekin wazeer-e-taleem P. Sabitha Indra Reddy ne kaha hai ke classes ke liye schools may jane wale talba ko apne walidain se tehreeri razamandi ka khat lana lazmi hoga.

Wazeer-e-taleem ne kaha tamam taleemi idaron ko hidaayat di gayi hai ke woh 25 January tak dobarah kholnay ke liye tayyar rahen. Taleemi idaron ke dobarah kholnay ke waqt yani 1st feb tak, safai, bijli aur pani jaisay deegar umoor par tawajah di jani chahiye.

Wazeer-e-taleem ke sath wazeer Falah wo behbood Koppula Eshwar OBC ke wazeer-e-behbood Gangula kumara qabaili behbood ke wazeer Satyavati rathod aur chief secretary Somesh kumar ne mukhtalif falahi mehakmon ke matehat taleemi idaron ki kushadgi ke liye kiye jane walay hifazati iqdamaat se mutaliq mutaliqa ohdedaron se mulaqaat ki. Wazeer-e-taleem ne media se guftagu karte hue kaha ke ohdedaron ko hidaayat di gayi hai ke woh class rooms aur hostel mein talba ke darmiyan 6 foot ki doori ko bhi yakheeni banayen. Yeh batatay hue ke reyasti hukoomat hifazati iqdamaat ke liye zaroori iqdamaat kar rahi hai unhon ne tamam talba aur asatezaa se kaha ke woh covid-19 ke hifazati protocol par amal karen jis mein chehra mask pehnana, hathon ki safai aur jismani doori shamil hai.

Wazeer-e-taleem ne kaha ke mukhtalif falahi mehakmon ke tehat tamam taleemi idaron se mehakma taleem ke jari kardah rehnuma usoolon par amal karne ko kaha gaya. Rehaishi idaron mein amlay ko 24 ghantay dastyab rehne ke liye zaroori Hidayat jari ki gayeen, is ke alawa ek medical plan banaya ja raha hai. zilai collectors ke sath commetian tashkeel di gayeen. Wazeer taleem ne zilai collectors se kaha ke woh is baat ko yakheeni banayen ke dobarah khulnay ke liye kisi school mein koi masla paeda nah ho. Unhon ne kaha ke schoolon ko hidaayat di gayi thi ke woh schoolon mein talba ko khana pakanay aur mid meal paish karte waqt poori ahtheyat barten. unhon ne kaha ke sirf sarkari school hi nahi, khangi schoolon ki nigrani ke liye bhi hidayat jari ki gayeen. Wazeer taleem ne tamam khangi schoolon ke intizamia ko hidaayat ki ke woh pehlay jari kardah sarkari hidayat ke mutabiq talba se sirf tution fees wusool karen. Unhon ne intizamia ko yeh bhi hidaayat ki ke woh walidain ko school ki feeson ki adaigi mein takleef nah paish karen.