Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadSchool talba mein reedh ki haddi ke amraaz ki tashkhees ke liye...

School talba mein reedh ki haddi ke amraaz ki tashkhees ke liye muhim ka aaghaz

Hyderabad: In dinoun school jaane walay talba jin ke baste kaafi wazni hotay hain aur inhen wazni baston ki wajah se un mein kayi amraaz ke khadshaat hamesha hi rehtay hain jis mein khaas kar reedh ki haddi ke masail aur iske tedhe honay ke amraaz ka khadsha bohat ziyada paaya jata hai.

Is masla se nimatnay ke liye ab association of spine surgeon of India ( ASSI ) ki janib se ek bhar mein ek muhim ka aaghaz kiya gaya hai jis ke tehat aindah do barson ke douran 1.5 laakh school talba ke darmiyan nah sirf reedh ki haddi ke amraaz ki tashkees ki jayegi balkay school talba mein reedh ki haddi ke masail ke mutaliq shaoor bedaar bhi kiya jayega.

Yeh apni noiyat ki pehli muhim hai aur is muhim ki ahmiyat is liye bhi hai kyunkay is waqt Hindustan mein 14 saal ki Umar se kam ke talba wazni baston ko rozana ghar se school tak utha kar le jaane ki wajah se masail mein mubtala horahe hain.

Shehar Hyderabad mein ASSI nay kayi ek schoolon ke sath is muhim ka aaghaz kiya hai jis mein taqreeban 10 hazaar talba ka muaina kiya jayega.

Hyderabad mein is muhim ke tehat 10 hazaar talba ka muaina kya jayega aur jin talba ki tashkhees ki jayegi unki tafseelaat jama karte hue is par tehqeeqi mutalea bhi kiya jayega taakay is qisam ke amraaz mein nai naslon ko mubtala hone se bachanay ke liye ahteyati tadabeer ke alawa medical shoba ki khidmaat bhi haasil ki jasakay.

yahan is baat ka tazkara bhi ahmiyat ka haamil hai ke reedh ki haddi ke behtar andaaz mein rehne aur iski sehat mand honay ki tafseelaat maloom karne ke liye bazaar mein kayi ek aalay dastyab honay ke alawa mobile phone mein kayi application bhi mojood hain jin mein spoleo meter aur angle meter qabil-e-zikar hain.

Is zimn mein izhar-e-khayal karte hue ISSI ke spine service and medical sadar aur Dr HS chabra nay kaha hai ke reedh ki haddi ke masail ka ibtidayi marhala mein maloom karlena behtar hota hai aur khaas kar 10 taa 14 saal ki Umar ke bachoun mein is ke khadshaat ziyada hotay hain lehaza ek bhar mein yeh muhim chalaye gayi hai aur ab Hyderabad mein talba ki reedh ki haddi ka muaina kiya ja raha hai. ibtidayi marhalay mein 10 hazaar talba ka muaina kiya jayega aur tafseelaat jama karte hue is par tehqeeqi mutalea bhi hoga. –YTN STAFF