Monday, May 20, 2024
HomeSliderSchool intizamia ke khilaaf walidain Police se rujoo honay par majboor

School intizamia ke khilaaf walidain Police se rujoo honay par majboor

Hyderabad: Mehakma taleem ke aala ohdedaron se raabtey be-faiz honay ke baad mayoos walidain ​​jinhoun ne fees ki vasuli ke silsilay mein sarkari ehkamaat ki khilaaf warzi karne walay School intizamia ka saamna karna padh raha hai yeh hi kaafi nahi hai balkay online classes ke douran talba ko bhi zillat ka saamna karna padh raha hai kyunkay jo talba School Fees ada nahi karpa rahe hain inhen online class se baher kardiya ja raha hai, Un tamam halaat ke baad ab talba ne police se madad talabb ki hai. Un walidain ki shikayat hai ke School talba ko online classes se baher kar rahay hain. Un ka kehna hai ke bachon ko class se baher karne ka bartao bardasht karna bohat zillat amaiz hai.

Taleem se mehroom honay ke ilawa un bachon ko sharam, Pareshani aur khauf ka saamna karna pad raha hai. Hyderabad Student Union Association ki naib sadar Sima Agarwal ne kaha hai ke mere bachay ko class chodney ke liye kaha gaya kyunkay mein ne woh Fees ada karne se inkaar kardiya jis ka mutalba Glendale School ne kiya tha. Riyasat Chief Minister ne khusoosi tor par Schools se kaha hai ke woh Tuition Fees se ziyada kuch wusool nah karen aur woh bhi mahana bunyadon par haasil karen taham School is par amal nahi kar rahay hain. Jab mein is ke khilaaf khadi huvi aur adaigi se inkaar kar diya to unhoun ne mere bachay ko online class se baher kardiya.

Mera bacha apni taleem se mehroomi ki wajah se bohat dara huwa hai. Mein mutadid ohdedaron se rujoo hotay hue is masla par roshni daali lekin koi bhi meri madad nahi ki lehaza un tamam halaat se mayoos hokar mein Rajendranagar Police Station mein School intizamia ke khilaaf shikayat darj karne gayi Ek aur walidain Shevta jo apni shanakht zahir karna nahi chahti theen is khauf se ke School is ke bachay ko harasan karsaktha hai taham unhoun ne masla ko ujagar karne ki gharz se kaha hai ke mera beta chhutti jamaat ka taalib ilm hai aur mein waqt par Fees ada karne ke baad bhi usay online classes mein shirkat ki ijazat nahi di gayi.

Mujhe School jaakar intizamia se is ki bahaali ka mutalba karna pada. Unhoun ne ibtidayi tor par mujhe jumla fees par 30 feesad chhuut di thi. Taham, Jab mein ne aawaz uthana shuru ki, To unhoun ne kaha ke mein sirf 10 feesad riayat haasil kar sakti hon. Agar School ke intizamia ne phir se mere bachay ko Class se baher kar diya to mein un ke khilaaf yaqeenan ek muqadma darj karoon gi.