Monday, April 21, 2025
HomeSliderScarlett Johansson duniya mein sab se ziyada kamaai karne wali adakara

Scarlett Johansson duniya mein sab se ziyada kamaai karne wali adakara

Washigton: Amrici adakara wo gulukarah Scarlett Johansson ne duniya ki sab se ziyada kamaai karne wali adakara ka aizaz haasil karliya.

Maroof iqtisadi Amrici jareeday forbes ke mutabiq 34 sala Scarlett Johansson ne duniya ki tamam adakaraon ko peechay chodtay hue sab se ziyada kamaai karne ka aizaz –apne naam kiya.

Scarlett Johansson ne guzashta ek saal mein 5 crore 60 laakh Amrici dollar kamaye. yaad rahay ke Scarlett Johansson haliya kuch arsay mein Hollywood ki badi filmo aur series ke sath sath kayi bade brands ka bhi hissa rahi. woh guzashta saal bhi sab se Ziyaad kamaai karne wali adakara qarar payi thi.

Unke alawa is fehrist mein dosray number par Amrici adakara Sofia Vergara rahi jin ki majmoi kamaai 4 crore 41 laakh Amrici dollar rahi. unke baad is fehrist mein Reese Witherspoon ne teesra muqam haasil kiya, jo guzashta saal se ab tak 3 crore 50 laakh Amrici dollar kama chuke hain. chouthey number par adakara Nicole Kidman ka naam raha jin ki kamaai 3 crore 40 laakh Amrici dollar rahi. Jennifer Aniston ne 2 crore 80 laakh Amrici dollar haasil karkay 5th maqam haasil kya. Kaley Cuoco ka naam 6th maqam par raha, unhon ne 2 crore 50 laakh Amrici dollar kamaye hain. Elisabeth Moss 2 crore 40 laakh Amrici dollar ke sath 7th maqam par rahi.

Jabkay forbes fehrist mein 8th maqam Margot Robbie ne haasil ki, jin ki majmoi kamaai 2 crore 40 laakh Amrici dollar rahi. 9th maqam par adakara Charlize Theron rahen jinhon ne guzashta saal se ab tak 2 crore 30 laakh Amrici dollar kamaye. is fehrist mein 10th maqam par Ellen Pompeo rahi, jinhon ne guzashta saal se ab tak 2 crore 20 laakh ki kamaai ki. –YTN STAFF