New Dehli. Tazirat e Hind ki dafaa 377 ke wujoob ko challenge karte huwe daakhil kardah darkhwaston par Supreme Court Budh ko apna faisla sadir kere gi. Supreme Court yeh taye kere gi ke aaya raza karana hum jins parasti ka jurm hona durust hai ya nahi. Adalat Uzma ney 17th July ko apna faisla mehfooz rakha tha ke aaya dafa 377 ko qabil e taazeer rakha jaye ya nahi. Qabl azeen markazi Hukumat ney IPC 377 ke mustaqbil ka faisla Supreme Court par chod diya tha aur Adalat e Uzma ney apne taraf se yeh sakhat ishara diya tha ke woh hum jins parasti ko jurm qarar dainay wali dafaa ko kaladam kardey gi. Mulk ki aala adalat ney kaha ke hatta ke Tazirat e Hind ki dafa 377 ke qanooni jawaz ka tamam paheloun se chhan phatak karte huve iss fayl ki taaazirat ko khatam kardiya jaye to bhi raza karana hum jins parasti par iss bradari se juday imtiyaaz aur samaji badnami ka khadsha baqi rehta hai. Dehli High Court ney 2009 mein dafaa 377 ko qabil e taazeer jurm barkhast karne ke haq mein faisla diya tha taham 2013 mein Suresh Kumar Koushal ba muqabla Naz Foundation Case mein Supreme Court ki do rukni judge ki bench ney is faisla ko kaladam kardiya tha. Adalat Uzma ney May mein faisla kiya tha ke Indian Institute of Technology ke LGBT Alumni Asosition ki janib se dafaa 377 ki barkhastgi ka mutaliba karte huwe daakhil kardah darkhwast ki samaat kerey gi. Qabal azeen 27th April ko Humsafar Trust ke Ashok Rao Koi aur Arif Jaffer ney bhi dafaa 377 ke khilaaf darkhwasten dayer ki thi. Iss dafaa mein yeh kaha gaya ke koi bhi fard kisi aurat, mard ya janwar ke sath ghair fitri tareeqa se mubashrat karta hai to woh 10 saal ki sazaye qaid ka mustawajib hoga aur is par jurmaana bhi aayed hoga.