Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsSayahati visa, ibtedayi 10 dinoun mein 24,000 sayah Saudi pohahnch gaye

Sayahati visa, ibtedayi 10 dinoun mein 24,000 sayah Saudi pohahnch gaye

Riyadh : Saudi arab mein pehli martaba sayahati visa jari kiye janay ke 10 dinoun mein hi 24,000 sayah arab riyasat pohanch gaye hain.

Wazeh rahay ke Saudi hukoomat ne apni maeeshat ka inhisaar Tel se hata kar sayahat ki janib laane ke liye guzishta mah 27 September se ibtidayi marhalay mein duniya ke 49 mumalik ko online visa jari karne ki sahoolat muta-arif karwai hai. Saudi arab ke sarkari TV channel ne Saudi wizarat-e-kharja ka hawala dete hue kaha hai ke 10 dinon mein 24 hazaar ghair mulki Saudi arab mein sayahati visay par daakhil hue hain. 27 September tak islami riyasat ki janib se sirf musalman zaireen, mulazmat ke liye aaney walay ghair mulkion aur kheloun aur saqafati taqrebaat mein shirkat ke liye aanay walon ko visa jari kiya jata tha.

6 october ko Saudi hukoomat ne sayaho ki tavajja haasil karne ke liye kisi bhi ghair mulki khatoon ko kiraye par hotel haasil karne aur apne sath na-mehram shakhs ko sath rakhnay ki ijazat bhi dedi. Saudi wali ehad Mohammad bin Salman ke nazriya 2030 aslahati programme ka ahem juz sayahat ka farogh aur arab duniya ki sab se badi maeeshat ka tel se inhisaar se khtama hai. online visa sahoolat haasil karne ke liye banai gayi Website ke mutabiq shumali America , Europe wo asia ke 49 mumalik online visa ki sahoolat haasil kar sakte hain.

Saudi arab ki janib se sayahati visa jari karne ka elaan ek aisay waqt mein samnay aaya jab ke yeh khabrain samnay aarahi ke Saudi arab ki tel ki aamdani mein musalsal kami aarahi hai aur hukoomat tel ki kamaai par inhisaar kam karne ke liye sayahat aur tafreeh sameit deegar mutabadil zaraye mein sarmaya kaari kar rahi hai. jahan Saudi hukoomat ne sayahati vison ke ajra ka elaan kiya tha, wahein ghair mulki khawateen ke Abaya pahannay ke shart ko bhi khatam kardiya tha. ab Saudi arab ne duniya bhar ke 49 mumalik ke online visa sahoolat faraham kardi hai.

Online visa sahoolat haasil karne ke liye banai gayi Website ke mutabiq shumali America , Europe wo asia ke 49 mumalik online visa ki sahoolat haasil kar sakenge. dilchasp baat yeh hai ke is fehrist mein koi bhi africi mulk shaamil nahi aur na hi mashriq wasti aur junoobi asia ka koi mulk shaamil hai. Website mein is baat ki wazahat nahi ki gayi ke jin ahem tareen mumalik ka naam fehrist mein shaamil nahi inhen visa jari kiya jayega ya nahi, taham yeh wazeh hai ke jin mumalik ka naam fehrist mein shaamil nahi woh online visa ki sahoolat haasil nahi kar sakenge.

Online visa ki sahoolat ke liye banai gayi Website mein Pakistan , turkey, Indonesia , misar, Palestine wo Bangladesh sameit deegar ahem tareen islami mumalik ka naam bhi shaamil nahi. online visa ki Website par aabadi ke aitebaar se duniya ke dosray badey mulk hindustan ka naam bhi shaamil nahi aur na hi Africa aur mashriq wasti ke kisi dosray mulk ka naam shaamil hai. online visa ki sahoolat haasil karne walay mumalik mein sab se ziyada Europi mumalik shaamil hain, fehrist mein 38 Europi mulk jab ke shumali America se mehez 2 mumalik America aur canada shaamil hain.

Fehrist mein asia se China, Bashmole Hongkong, Macaw wo taiwan, malaysia, singapore, Japan , junoobi Korea , aur Kazakhastan shaamil hain. online visa ki sahoolat haasil karne walay mumalik mein behar oqiyanus ke Australia aur newzealand ka naam bhi shaamil hai. Website ke mutabiq mazkoorah 49 mumalik ke afraad ghar baithe mehez chand minute mein online visa ki darkhwast desakte hain. online darkhwast dainay ka amal intehai asan rakha gaya hai, jiske tehat darkhwast guzaar ko sirf passport aur online raqam jama krwane sameit apna E-mail dena padega. –YTN STAFF