Riyadh: Saudi wazeer kharja ney Baghdad mein Iraqi Wazeer-e-Azam Mustafa Al-Kadhimi se mulaqaat ke douran Iraq ke sath mumlikat ke gehray taluqaat ki tareef ki hai. Shehzada Faisal Bin Farhan nay kaha ke unhoun nay Mustafa Al-Kadhimi ke sath dono mumalik ke darmain badhatay huve taluqaat aur mushtarqa challengon par tabadlah khayaal kiya.
Saudi shehzada Faisal neh kaha aaj mujhe Iraq ka dora karne mein khoshi huvi hai jis ke sath hamaray gehray taluqaat hain. Mein neh do tarfha taluqaat par tabadlah khayaal kiya jo mustaqil tor par badh rahay hain aur Iraqi Wazeer-e-Azam Mustafa Al-Kadhimi ke sath mushtarqa challenges hain. Wazeer-e-Azam ko May mein is waqt muntakhib kiya gaya tha jab mulk muzahiron se laraz utha tha aur unhoun neh ohda sanbhalne ke baad islahat karne ka wada kiya tha.
Darin Isna Iraq mein Saudi Arab ke safeer Abdulaziz Al-Shammari neh Iraq ke Wazeer-e-Dakhla Othman Al-Ghanmi se mulaqaat ki. Dono ohdedaron neh do tarfha taluqaat, Dehshat gardi aur manshiat ka muqaabla karne ke liye security ki koshisho ko marboot karne aur dono mumalik ke mabain sarhadoon ke tahaffuz par tabadlah khayaal kiya.
Haal hi mein Saudi Arab ne Mustafa Al-Kadhimi ki qayadat mein ban’nay wali Iraq ki nai hukoomat ka kher muqaddam karte hue umeed zahir ki hai ke Mustafa Al-Kadhimi Iraq ki khud mukhtaari aur aman-o-istehkaam se mutaliq Iraqi bhaieyon ki umangon par poooray utrin ge. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq Saudi Daftar-e-Kharja ne bayan jari karkay yaqeen dilaya ke Saudi Arab Brother mulk Iraq ke sath khada hai aur bahami taawun, Ehtram, Tareekhi rishton aur mushtarqa mafadaat ki bunyaad par Iraq ki nai hukoomat ke sath mil kar kaam karne ke liye tayyar hai.