Sunday, May 19, 2024
HomeSliderSaudi wali Ahad aur Americi musheer Kushner ki mulaqaat

Saudi wali Ahad aur Americi musheer Kushner ki mulaqaat

Riyadh: Saudi Wali Ahad shehzada Mohammad bin Salman ney Americi sadar ke senior musheer Jared Kushner se mulaqaat ki jis mein ilaqai istehkaam par tabadlah khayaal kiya gaya jis mein Palestine. Israel mazakiraat ke ihyaa ko awwaliyat di gayi hai. SPA ki sarkari khabar rasan Agency ki khabar ke mutabiq un mazakiraat mein khittay mein aman amal ke imkanaat aur Palestines aur Israeli fariqain ke mabain mazakiraat shuru karne ki zaroorat ka ihata kiya gaya hai.

Mulaqaat ke douran Jared Kushner ny Saudi Wali Ahad bataya tamam ke shobo mein do tarfha shiraakat daari ko mustahkam karne ke tareeqon par bhi tabadlah khayaal kiya aur khaas tor par is mansoobah par jo khittay mein salamti aur istehkaam haasil kere aur bain ul aqwami aman-o-salamti ko mazboot bananay ki kiya zamanat deta hai. Is ijlaas mein Saudi Arab wazeer kharja shehzada Faisal bin Farhan Al Saud bhi shareek they. Bahrain ke badshah ke sath Manama mein baat cheet karne aur is se qabal Mutahidda Arab Emirate ke doray ke ekhtataam ke baad Jared Kushner Saudi Arab ka rukh kiya.Mutahidda Arab Emarat aur Israel ke mabain taluqaat ko mamool par laane ke liye 13 August ko honay walay muahiday ke baad Jared Kushner khaliji mumalik ka dora kar rahay hain.