Monday, April 29, 2024
HomeSliderSaudi shehrioun par Iran ke safar ki pabandi

Saudi shehrioun par Iran ke safar ki pabandi

Riyadh: Saudi Arab ke Director General of Jawazat ( Immigration and Passport ) ke tarjuman ne Saudi shehrioun aur mulk mein muqeem ghair mulkioun ke Iran safar par pabandi aed ki hai. Tafseelaat ke mutabiq mehakma Jawazat ke tarjuman ne kaha hai ye faisla sehat ke hawalay se kiya gaya hai taakay coronavirus se bachao ke liye ahteyati tadabeer ikhtiyar ki ja sakain. Mehakma Jawazat ke tarjuman ne mazeed kaha hai coronavirus ke hawalay se ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue aisay ghair mulki afraad jo Iran gaye hon to un afraad par marz ki ki muddat ( 14 din ) se qabal mumlikat mein dakhlay par pabandi hogi.

Jawazat ke zaraye ne mazeed kaha hai ke wo afraad jo Iran gaye aur wo apni is muddat ka saboot pesh nahi karen ge to ye qanooni khilaaf warzi shumaar hogi. Aisay afraad jo Iran gaye hue hain inhen Saudi Arab barah e raast ane ki ijazat nahi hai. Zaraye ke bamujab Saudi Arab ane walay tamam musafiroun ki ye zimma daari hai ke wo mehakma Immigration and Passport ke ohdedar ko apne guzashta 2 haftoun ki Report pesh karen taakay ye maloom hosakay ke ane wala musafir barah e raast Iran se nahi aarahe.
Khilaaf warzi ke murtakib afraad ko mumlikat ane nahi diya jaye ga aur inhen isi waqt deport kar diya jaye ga. Khabar-rasan idaray ke mutabiq Iran mein coronavirus ke mamlaat ki tadaad ab 18 hogayi hai jin mein se ab tak 4 afraad is virus se halaak ho chuke hain. Khayaal rahay ke China ke sarkari adaad o shumaar ke mutabiq coronavirus se hone wali halakatoun ki tadaad 2236 hogayi hai. –YTN STAFF