Riyadh: Saudi Arab mein rawan mah hi pehli martaba khawateen ne ghair mehram mardoun ke sath taash ke pattoun ka khail khela tha. Taash ke pattoun ke Event mein jahan pehli martaba khawateen neh shamoliat ikhtiyar ki thi, Wahein unhoun ne tajarbaykar mard khiladioun ko shikast bhi di thi lekin ab Saudi Arab ki hukoomat ne elaan kiya hai ke pehli martaba mukhtalif kheloun ki khawateen khiladioun ko mard hazraat ke sath khailnay ki ijazat hogi. Saudi Arab ke wazeer khail Shehzada AbdulAziz Bin Turkey ne elaan kiya hai ke rawan mah honay walay Olympics kheloun mein khawateen bhi shareek hon gi.
Tafseelaat ke mutabiq shehzada Abdulaziz Bin Turkey ne rawan mah munaqqid honay walay Saudi Olympic Games ke ineqad ka elaan karte huve kaha ke mulki tareekh ke sab se baday Game Event ka aaghaz 24 March ko hoga. Wazeer khail ne kaha ke ye pehla mauqa hoga ke Saudi Olympics Games mein mulk ke tamam yani 13 ilaqoun se khiladi aur Athlete shaamil hon ge. Un ke mutabiq Saudi Olympic Games mein mulk bhar se taqreeban 6 hazaar kheladi aur Athletes shirkat karen ge jin mein khawateen bhi shaamil hon gi.
Saudi Olympic Games mein majmoi tor par 35 khail pesh kiye jayen ge aur kuch kheloun mein khawateen aur mard mushtarqa tor par bhi maidan mein utarain ge. Saudi Olympic Games ke ineqad dar-ul-hukoomat Riyadh ke 18 mukhtalif maqamat par kiya jaye ga aur kheyal kiya ja raha hai ke kheloun ko dekhnay ke liye khawateen ki bhi bohat badi tadaad mojood hogi. Un kheloun mein kamyabi haasil karne walay khiladioun aur Athletes ko na sirf sonay, Chandi aur kansi ke medal diye jayen ge balkay inhen naqad inamaat bhi diye jayen ge.
Kheloun mein aala karkardagi ka muzahira karne waloun ku Gold Medal ke sath 10 lakh Saudi Riyal, Silver medal haasil karne walay ko 3 lakh jab ke Browns medal jeetnay walay ko ek lakh Riyal ki raqam bhi di jaye gi. Wazeh rahay ke guzashta chand saal se Saudi hukoomat ne khawateen ko aazadiyan di hain aur ab wahan khawateen ko jahan Dramoun aur Filmoun mein kaam karne ki ijazat haasil hai wahein inhen mard sarparast ki ijazat ke baghair beroun mulk safar karne ki ijazat bhi haasil hai.
Saudi Arab mein ab jahan khawateen Driving karne ke liye azad hain, Wahein wo ab ghair Mehram mard ke sath nokari bhi kar sakti hain, Alawa azeen inhen siyasat mein bhi hissa lainay ki ijazat haasil hai. Ab Saudi Arab ki khawateen jahan aam maqamat par mardoun ke sath nokari karti dikhayi deti hain wahein wo khail ke maidan mein bhi dikhayi deti hain. –YTN STAFF