Sunday, April 20, 2025
HomeSliderSaudi nojawan shadi karne ke qabil kyun nahi

Saudi nojawan shadi karne ke qabil kyun nahi

Riyadh: Saudi mehakma shumariyat ne Saudi nojawan ke shadi mein takheer ke asbaab ke hawalay se report jari ki hai.

Website ke mutabiq 33.89 feesad Saudi nojawanon ne kaha ke shadi mein takheer ka ahem sabab muashi akhrajaat mein izafah hai. muashi akhrajaat is qader ziyada badh gaye hain ke shadi ka programme banana mushkil ho raha hai.

Neez 3.68 feesad Saudi nojawan ne kaha ke shadi ke liye ghar ka bandobast zurori hai. iska intizam bas se bahar hai. isi wajah se shadi mein takheer horahi hai. 13.77 feesad Saudi nojawanon ne kaha ke woh taleem mukammal na honay ki wajah se shadi takheer se kar rahay hain. khwahish hai ke pehlay taleem mukammal ho iske baad shadi ka programme banaya jaye.

Taleem mukammal na honay ki wajah se shadi mein takheer ka tanasub ladkoun aur ladkiyon mein mukhtalif hai. ladkiyon mein iska tanasub 15. 67 feesad aur ladkoun mein 11.95 feesad hai.

Jaizay mein shareek 6.69 feesad nojawanon ne kaha ke shadi mein takheer ki wajah munasib shareek hayaat ke intikhab mein dushwari hai.

Is hawalay se ladkiyon ka tanasub 11.70 feesad aur ladkon ka tanasub 1. 88 fesad paya gaya.

Jaizay mein shaamil 2.90 feesad ladkiyon ne kaha hai ke shadi mein takheer ki wajah munasib rahaish ka bandobast nah hona hai jabkay 4.42 feesad ladkon ne bhi shadi mein takheer ka baais isi baat ko bataya hai. yaad rahay ke is zamray mein 3.68 feesad ladke aur ladkiyan shareek hain.