Thursday, May 8, 2025
HomeSliderSaudi muashray mein khobsorat nazar aane ke liye Plastic Surgery ka badhta...

Saudi muashray mein khobsorat nazar aane ke liye Plastic Surgery ka badhta rujhan

Riyadh: Saudi Arab mein Plastic Surgery ke consultant Dr Abdullah Basas ne kaha hai un dinoun jitni tadaad mein khawateen Plastic Surgery ke liye dawakhane se rujoo kar rahi hain. Itni hi tadaad mein mard bhi khobsorat nazar ane ke liye Plastic Surgery karane arhay hain.
Ye adad-o-shumaar androon mumlikat ke hain. Aisa lagta hai ke Saudi doctoroun par muqami shehrioun ka aitbaar badhta jaraha hai. Mutabiq Dr Abdullah Basas se Rotna Khalijiah Channel ke Programme Ya Hala ( khush aamdeed ) mein sawal kiya gaya tha ke mardoun ka Plastic Surgery karwana asayish hai ya zaroorat hai.

Dr Abdullah Basas ne kaha Plastic Surgery ka rujhan khawateen o hazraat dono mein yaksaa hai. Tajurbahkar doctoroun, Plastic Surgery mein muawin jadeed Technology ki badolat Saudi shehri androon mulk Plastic Surgery karwane lagey hain.
Dr Basas ne mazeed kaha kay Saudi Arab mein deegar mumulk ki terhan tibbi aur takneeki wasail muhayya hain. Mumlikat mein Turkey ke hum palla takneeki saholaten faraham hochuki hain. Dr Basas ke mutabiq maazi mein hamara muashra mardoun ki Plastic Surgery ko pasand nahi karta tha lekin ab surethaal badal rahi hai. Loog mehsoos karne lagey hain ke is se ensaan ki zehni haalat aur is ki shakal o soorat par acha assar padta hai.

unhoun ne ye bhi kaha ek usool ye maan kar chaliin ke koi bhi shakhs agar apne ghar se Plastic Surgery dawakhana jaraha hai aur wahan jaakar wo bill ada kar raha hai aur khud ko operation ke khatraat se dochar kar raha hai wo aisa tafreeh ke liye nahi balkay kisi nah kisi majaboori ki wajah se kar raha hai. Dr Abdullah Basas ne mashwara diya ke agar kisi bachay ke kaan baday hon to is ki Plastic Surgery school jaany se qabal karva leni chahiye. Agar aisa na kiya gaya to mumkin hai ke wo zehni masail se dochar hojaye. –YTN STAFF