Monday, May 12, 2025
HomeSliderSaudi mein Saiyahat ke farogh ka elan, ghair Saudi khawateen Abaya se...

Saudi mein Saiyahat ke farogh ka elan, ghair Saudi khawateen Abaya se mustasna

Riyadh : Saudi arab mein aaye din aise faislay horahay hain jiski misaal maazi nahi millti thi aur kuch faisloun par shadeed tanqeed bhi ki jarahi hai. Saudi arab ne ab ek naya faisla kiya hai jaissa ke is ne apni maeeshat ko behtar bananay ke liye Saiyahat ke aaghaz ka elaan kardiya. yeh pehla mauqa hai ke duniya bhar mein islam ke muqaddas maqamat ki wajah se intehai ahmiyat rakhnay walay mulk mein aam ghair mulkion ke liye Saiyahat ka elaan kardiya gaya.

Isse qabal Saudi arab mein sirf musalman saiyaho ko Hajj ya Umrah karne ki ijazat hoti thi ya phir aisay afraad ko visit visa jari kiya jata tha jinke rishtedaar wahan muqeem hon. lekin hukoomat ke haliya elaan ke baad duniya ke har mulk ka shehri ahem tareen islami mulk ka dora kar sakayga. jahan Saudi arab ne tareekhi faisla karte hue Saiyahat ki ijazat di hai, wahein hukoomat ne ghair mulki khawateen ke libaas mein bhi narmi ka elaan karte hue inhen Abaya ki shart se bhi mustasna kardiya hai.

Tafseelaat ke mutabiq Saudi arab ke mehakma Saiyahat ke sarbarah Ahmed al-khatib ne kaha hai ke hukoomat ke is naye qadam se Saudi arab ki majmoi paedawar mein 7 feesad tak izafah hoga. Saudi Arab Saiyahat ke hawalay se duniya ka ahem tareen mulk hai aur yahan par UNESCO ki aalmi virsay ki fehrist mein shaamil 5 qadeem tareen tareekhi maqamat bhi mojood hain. unke mutabiq Saudi arab mein duniya ki qadeem tareen tehziboun ke aasaar ki moujoodgi sameit khubsurat tareen maqamat mojood hain jo saiyaho ke liye intehai kashish ka baais baninge.

Saudi hukoomat ghair mulkion ko 90 din tak ka saiyahati visa jari karegi jab ke 28 September se visoun ka online ijra bhi shuru hojayega. ghair mulkion ko poooray Saudi arab ke visay jari kiye jayenge lekin naye elaan ke bawajood ghair muslim sayaho ko musalmanoun ke liye muqaddas tareen shehroun, mecca aur madina mein moujood muqaddas Islami muqamat tak rasai nahi di jaye gi.

Saudi hukoomat ne ghair mulkion ke liye Saiyahat ka aaghaz ek aisay waqt mein kiya hai jab ke kuch din qabal hi Saudi arab ki tel ki tansibat par mubayyana tor par Iran ne hamla kiya tha. guzashta chand saal se Saudi arab ki tel ki kamaai mein musalsal kami aarahi hai aur hukoomat tel ki kamaai par inhisaar kam karne ke liye Saiyahat aur tafreeh sameit deegar mutabadil zaraye mein sarmaya kaari kar rahi hai. hukoomat ki janib se Saiyahat ki ijazat diye janay se salana 10 crore sayaho ki aamad ka imkaan hai aur is mansoobay se 10 laakh nai mulaazmaten paeda hongi.

Saiyahat ke liye darwazay kholnay se Saudi arab ko anay walay chand saal mein kam se kam 5 laakh kamroun par mushtamil par tesh hotels ki zaroorat padegi aur khayaal kiya ja raha hai ke Saiyahat ke aaghaz ke baad mukhtalif hisson mein tamirati mansoobay shuru kiye jayenge.

Saudi hukoomat pehlay hi Nevam Nami sayahati shehar bananay mein masroof hai, sath hi hukoomat al-qadiya Nami entertainment wo sports shehar bananay mein bhi masroof hai. alawa azeen Saudi hukoomat ne bahera Ahmar ke kinare mojood 50 jazero par par teysh resorts bananay ka elaan bhi kar chuki hai aur un mansooboun par tezi se kaam jari hai. –YTN STAFF