Monday, April 21, 2025
HomeSliderSaudi mein rehaish Pazeer afraad apne lawahiqeen ko mezban visa per mado...

Saudi mein rehaish Pazeer afraad apne lawahiqeen ko mezban visa per mado kar sakenge

Saudi arabia : Media reports ke mutabiq, Saudi arab aindah tarikhon mein fisher platform ke zariye mezban visa“ jari karna shuru karega. mazkoora naya mezbaan visa Saudi shehrion aur rehaishion ko 90 din tak wahan ke kisi fard ke liye riyasat ki janib se mehmanon ki maiz-baani karne ka ahal banayega. report ke mutabiq, har ek shehri, ek saal mein 3 se 5 logon ko madoo kar sakenge.

Mez baan visa ki qeemat har shakhs ke liye aur har saal ke liye 500 SR ( Saudi riyal ) hai. aur ek hi shakhs ko alag alag visa par ek saal mein 3 baar bulaya jasakta hai. aur is visa par aanay walay, mez baan riyasat mein kahin bhi azadana tor par safar kar sakenge.

Is ke alawa rehaishi sirf qareebi rishta daaron ko madoo kar sakenge. taham, Saudi shehri kisi ko bhi mez baan visa par bulanay ke ahal honge. maheman ke liye makeen ya shehri mukammal tor par zimmedaar honge. –YTN STAFF