Riyadh : Saudi khawateen aise tamam kheloun mein jahan woh apne jism, dimagh aur salahiyat ka bharpoor muzahira kar sakti hon badh chadh kar hissa lenay lagi hain. shatranj ko dimagh ka khel mana jata hai. pehli martaba alwahda club nay mecca mukarmah mein Saudi shatranj organization ke taawun se shatranj tournament ka intizam kiya . khawateen ne is mein hissa liya.
Al-Madina akhbar ne is ki tafseelaat faraham karte hue bataya hai ke shatranj ke pehlay khawateen tournament mein aam khawateen hi nahi balkay Shahi khandan ki shehzadi bhi shareek hui. is mauqa par shatranj ki Saudi organization ki deputy chair person shehzadi lama al suderi sarparasti ke liye mojood theen. Al wahda club ke deputy chairman Abdul aziz aur executive chairman turkey abdul majid bhi shareek hue.
Shatranj tournament mein muqaabla kantay ka raha. mukhtalif Umar ki khawateen aur ladkiyon ne is mein hissa liya. pehla maqam sara abdullah ne haasil kiya jabkay Umani Atifa dosray number par ayen. dena Ishaq ne teesra maqam haasil kiya .
Shatranj tournament ke pehlu ba pehlu mutadid tafrehi aur saqafati programme bhi munaqqid kiye gaye. waar video games ka show hua. artist ladkiyon ne painting banayen. Al johara Mohammad Al Hasan ne tournament ke intizamaa chalaye. Al johara shatranj ki Saudi organization mein ladies committee ki chair person hain. nataij ke elaan par awwal, dowam aur sowam anay wali khawateen ko cup diye gaye. –YTN STAFF