Tuesday, April 23, 2024
HomeSliderSaudi mein Niddiyoun ke hamloun se bachao ke liye jadeed technology ka...

Saudi mein Niddiyoun ke hamloun se bachao ke liye jadeed technology ka istemaal

Riyadh: Saudi wizarat maholiyaat, pani vazraat ne fasloun aur shehroun ko Niddiyoun ke hamlon se mehfooz rakhnay ke liye jame mansoobah bandi par amal shuru kar diya.

Wizarat ne Niddiyoun ke insidaad ke liye mukhtalif ilaaqon ke surway ke liye jadeed tareen digital cameron se Lays unit faraham kiya hai.

Saudi arab ke akhbaar ke mutabiq wizarat maholiyaat ne Niddiyoun ke insidaad ke liye jame hikmat-e-amli muratab ki hai taakay fasloun ko unke nuqsanaat se mehfooz rakha jasakay. wizarat ki janib se Niddiyoun ke khatmay ke liye jahan ground control unit ke zariye spray kiya jata hai taham is se qabal un ilaqoun ki nishandahi ki jati hai jahan tiddi ke hamlay mutawaqqa hotay hain.

Surway ke liye vazarat maholiyaat vazraat ki janib se surway ke liye jadeed tareen technology par mushtamil unit tayyar kiya hai jis mein drones ko shaamil kiya gaya hai taakay unke zariye ilaqoun ka fazai surway kar ke spray karne wali teamon ko jame report pesh ki jaye. surway team jin drones se kaam legi un mein jadeed tareen camera nasb kiye gaye hain jinhein wifi system ke zariye control room se munsalik kiya jayega.  –YTNSTAFF