Sunday, April 20, 2025
HomeTrending NewsSaudi mein Iqama ki towsee jald hi khudkaar nizaam ke tehat hogi

Saudi mein Iqama ki towsee jald hi khudkaar nizaam ke tehat hogi

Riyadh: Saudi mehakma Passport ne kaha hai ke Shahi farmaan ke mutabiq tamam tarikeen watan ke Iqama mein towsee jald hi khudkar nizaam ke tehat kar di jaye gi. Website ke mutabiq mehakma Passport ne Twitter par bayan mein kaha ke un tamam ghair mulkioun ke Iqama mein towsee national information center kay sath yakjahti peda kar ke khudkaar nizaam ke tehat jald kar di jaye gi, Jinhein Shahi farmaan ke zariye jurmanoun aur Fees se istashna day diya gaya hai.

Jabkay wizarat afradi qowat o samaji behbood ne un ke Work Permit mein towsee kar di hai. Mehakma passport ke director general major general Sulaiman Al Yahya ne is se qabal apne bayan mein kaha tha ke Saudi hukoomat ne mutadid zumroun mein anay walay ghair mulkion ko Visa aur Iqama khatam ho jaane par lagne walay jurmanoun aur feesoun se istashna day diya hai.

Is se qabal Saudi mehakma passport ke director general major general Sulaiman Al Yahya ney jurmane aur fees se mustasni ghair mulkioun ke zumroun ki tafseelaat jari ki theen. Wazeh rahay ke Saudi hukoomat ney corona waba ke douran safri pabandioun ke baais Iqama aur Visa ki muddat khatam hojane ki mushkilaat se dochar ghair mulkioun ko jurmane aur Fees se istashna dainay elaan kiya tha.

Media ke mutabiq major general Sulaiman Al Yahya neh kaha ke jo loog Exit Re-entire ) holder hain, Un ka Iqama mo-asar hai aur wo bain ul aqwami parwazoun par pabandi ki wajah se Saudi Arab wapas nahi aa sakay, Un par koi jurmana hoga aur nah hi un se koi fees wusool ki jaye gi. Isi terhan wo ghair mulki jin ka Iqama khatam hogaya ho, Ya Saudi Arab se baher rehtay huve un ke Visa ki meyaad khatam ho gayi ho wo bhi jurmanoun aur Fees se mustasni hon ge.

Saudi Arab mein muqeem wo ghair mulki jo final Exit jari kar chuke hon ya un ke paas Exit Re-entry ) ho aur safar nah kar sakay hon, Wo bhi jurmanoun aur fees se mustasni hon ge. Wo loog jo Saudi Arab visit visa par aeye hon aur safri pabandioun ki wajah se wapas nah ja sakay hon woh bhi jurmanoun aur fees se mustasni hain.