Sunday, May 19, 2024
HomeSliderSaudi mein azadi ka jashnn, Khawateen ki awaami maqamat par Cigarette nowshi

Saudi mein azadi ka jashnn, Khawateen ki awaami maqamat par Cigarette nowshi

Riyadh: Guzashta chand saal se khawateen ko khudmukhtaari dainay walay mulk Saudi Arab mein khawateen ne kayi dehaiyo ke baad khud ko milnay wali azaadi ka jashnn mananay ke liye awaami maqamat par Cigarette nowshi shuru kar di. Saudi Arab ki hukoomat ne vision 2030 ke tehat 2015 ke baad khawateen ke liye islahat muta-arif kerwatay huve inhen jahan Driving ki ijazat di, Wahein inhen ghar ke kisi mard sarbarah ki ijazat ke baghair bhi beroun mulk safar karne ki ijazat di gayi.

Vision 2030 ki islahat ke tehat hi khawateen ko siyasat karne, Vote dainay, Ghair mehram mard ke sath nokari karne, Showbiz o fashion ki duniya mein anay, Khail khailnay aur apni marzi lekin Islami libaas pahannay ki ijazat bhi di gayi aur un hi islahat ki wajah se Saudi Arab ki duniya bhar mein tareef bhi huvi.

Khawateen ko milnay wali azadioun aur khudmukhtarioun ke tehat hi kuch din qabal Saudi Arab se ye khabrain aayi then ke wahan par nowjawan ladke aur ladkiyan khufia tor par muhabbaten parwan chadha rahay hain aur ab wahan nowjawan shadi se qabal taluqaat ustuwar karne ko ghalat nahi samajte aur ab Saudi Arab se khabrain samnay aayi hain ke wahan par khawateen ki bohat badi tadaad ne sare-aam awaami maqamat par cigarette nowshi bhi shuru kardi hai. Baaz nowjawan ladkiyan cigarette nowshi ko muzir sahet bhi nahi samjhten.

Tafseelaat ke mutabiq awaami maqamat par mard hazraat ke hujhoom ke samnay cigarette nowshi karne wali nowjawan ladkiyoun mein dar-ul-hukoomat Riyadh ki 27 sala Reema bhi hain jo ek niji idaray mein mulazimat karti hain. Reema ne cigarette nowshi karne ke hawalay se kaha ke wo guzashta 2 saal se cigarette nowshi kar rahi hain aur wo samjhti hain ke Saudi Arab ki khawateen apni azaadi ka jashnn mananay ke liye cigarette nowshi karti hain. Reema Electronic Cigarette istemaal karti hain aur wo is baat par intehai khush hain ke un ki terhan ab deegar ladkiyan aur khawateen bhi awaami maqamat par apni azaadi ka jashnn mananay ke liye cigarette nowshi karti hain. Agarchay Reema Saudi Arab ki khawateen ki cigarette nowshi ko azaadi ke jashnn se tashbeeh deti hain taham sath hi wo is baat ka aitraaf bhi karti hain ke abhi fori tor par Saudi samaaj aisi khawateen ko qubool nahi kere ga aur un ke ahal khanah bhi is amal ko ghalat samajte hain aur un se kehte hain ke cigarette nowshi ke kayi muzir asraat muratab hotay hain.

Awaami maqamat par cigarette nowshi karne wali ladkiyoun mein 26 sala Najela bhi hain jo khawateen ke is amal ko haqeeqi khudmukhtaari qarar deti hain. Najela ne kaha hai ke Saudi Arab ka samaaj ye kaisay bardasht kere ga ke ek Hotel mein jahan mard hazraat ka hujhoom ho aur darjan se zayed mard baithy hon, Wahan ek khatoon cigarette jalaye? Unhoun ne kaha ke khawateen ki haqeeqi khudmukhtaari hi isi mein hai ke inhen cigarette nowshi sameit deegar kaam karne ki mukammal ijazat ho. Awaami maqamat par E cigarette ya sheesha istemaal karne wali Saudi khawateen mein 36 sala Heba bhi hain jo ziyada tar awaami maqamat par sheesha istemaal karti hain.

Heba ne Saudi Arab ke guzashta chand saal ki badalti zindagi ko yaad karte huve bataya ke kuch saal qabal tak ye sochna bhi ghalat tha ke khawateen awaami maqamat par yun cigarette nowshi karen gi ya wo sheesha istemaal karen gi lekin aaj ye sab kuch khawateen kar rahi hain.

Unhoun ne khawateen ko di janey wali azadioun par baat karte huve kaha ke ab Saudi Arab ki khawateen ko ye azaadi bhi haasil hai ke wo hijaab ya Abaya pehnein ya nahi lekin ab bhi khawateen hijaab ya Abaya mein cigarette nowshi karne sameit deegar kaam karti dikhayi deti hain. Khawateen ki janib se awaami maqamat par cigarette nowshi ke aaghaz se qabal hi Saudi hukoomat ki janib se 2015 mein jari kiye gaye ek survey mein bataya gaya tha ke Saudi Arab ki 65 feesad High School o Colleges ki ladkiyan kisi nah kisi terhan ki cigarette nowshi karti hain aur yer survey Saudi Arab ki sab se moutabar King Abdul Aziz University ne kiya tha. –YTN STAFF