Thursday, May 2, 2024
HomeSliderSaudi khatoon scholar Americi adalat mein muawin judge muqarrar

Saudi khatoon scholar Americi adalat mein muawin judge muqarrar

New York: Americi adalat ne sarkari Scholarship par zair taleem Saudi scholar khatoon ko Muawin judge tainaat kar diya. Muqami akhbar akhbar 24 ke mutabiq Saudi Scholar khatoon Shaimaa Sadeq ne twitter ke apne account par bataya hai ke inhen Americi adalat mein Muawin judge ke ohday par taynat kar diya gaya hai. Un ki hesiyat raza karana hogi. 2020 mein is ka ek bada hadaf is soorat mein poora ho gaya hai.

Shaimaa Sadeq  America mein qanoon ki aala taleem haasil kar rahi hain. Yaad rahay ke Shaimaa Sadeq  ne king Saud university ki faculty of law se LLB kiya. Wo qanoon ki a Scholar hain. Shaimaa ne qanoon mein aala diploma bhi kiya hai aur aala taleem ki takmeel aur waqalat ki practice ke liye Scholarship par America gayi hain.

Shaimaa qanoon mein masters kar rahi hain. ye pehli Saudi Scholar khatoon hain jinhein Americi adalat mein Muawin judge banaya gaya hai. Shaimaa ke taqarrur ke baad duniya bhar ke awam aur khaas social media sarfeen ye mauzo behas bana huwa hai ke Saudi khatoon Americi rang mein rang jayengi ya bhar inhen jo zarin mauqa mela hai is ka poora faida uthatay hue Islam ke insaaf pasand usooloun se wo duniya ke taaqat war mulk America ku rushnaas karwati hain. –YTN STAFF