Riyadh : Kahawat mashoor hai ke qatra qatra se darya banta hai aur darya, darya mein milnay se samandar wujood mein aata hai is kahawat ke misdaaq aisa hi kuch ek Saudi khandan ke sath hua jis ne 100 baras tak nawadiraat jama karkay shandaar ajaaeb ghar qaim kiya hai. tafseelaat ke mutabiq ajaaeb ghar ka naam’ ‘ Mutahaf al rashid’ ‘ rakha gaya hai. iske maalik Khalid abdullah al rashid ne kaha hai ke taqreeban 100 baras se zayed arsay se hamaray khandan ke afraad Saudi soobay qasem ke Maroof shehar unaiza mein nawadir jama karte rahay hain. Nawadiraat jama karna hamara khandani shouq hai. aaj tak hum is se wafadaari nibha rahay hain.
Khalid abdullah al rashid ne mazeed kaha hai ke hamaray yahan jab 15 hazaar se ziyada nawadir jama hogaye to hamein fikar hui ke ab hamaray ghar ka kiya haal hoga. ek tarha se hamara poora ghar nawadiraat ke liye mukhtas hokar reh gaya. nawadiraat jama karne ka silsila phir bhi jari tha. is sorat-e-haal ke paish-e-nazar hum logon ne 1998 mein khangi ajaaeb ghar qaim karne ka faisla kiya aur usay al rashid ajaaeb ghar ka naam diya gaya. ghar mein mojood bohat saaray nawadiraat ajaaeb ghar mein muntaqil kardiye gaye.
Khalid al rashid ke mutabiq ek sadi ke douran khandan ke afraad ne zarayi alaat, banduqein, anwaa wo aqsam ke hathyaar jama karliye they. hamaray ghar walay aur unaiza ke bashinday nawadiraat ke shaiqeen se yeh sab kuch jama karte rehtay they. ajaaeb ghar qaim karne ke kayi maqasid hain. ek to yeh hai ke aaba wo ajdaad ka tareekhi varsa mehfooz hojaye. dosra hadaf yeh hai ke nai naslon ko pata chalna chahiye ke hamaray buzurug maazi mein kis tarha zindagi guzartay they. unke rehan sehan ke tour tariqe kiya they.
Ajaaeb ghar mein ek bandooq 150 baras qadeem hai. jabkay hamaray yahan 60 baras purani zarayi mashinen bhi hain. Al rashid ne mazeed kaha hai ke hamaray khandan ki khawateen, mard aur bachon ki dilchaspi ka daira nawadiraat jama karne tak hi mehdood nahi. hamara khandan kaarobar, darwazon par naam aur phool botay bananay neez har tarha ki kheti baadi aur dastkaari mein bhi dustarus rakhta hai. unke mutabiq is ajaaeb ghar mein har qisam ki cheeze padi hui hain. Al rashid ajaaeb ghar Saudi arab ke 70 qaumi mailon mein shirkat karchka hai. duniya ke mukhtalif mumalik ke log usay dekhnay atay hain. –YTN STAFF