Sunday, May 19, 2024
HomeSliderSaudi kabeena mein tabdeeli, kayi wazraat ke naam tabdeel

Saudi kabeena mein tabdeeli, kayi wazraat ke naam tabdeel

Riyadh: Saudi Arab ki kabeena mein kayi tabdiliya ki gayi hain aur kabeena mein naye afraad ko shaamil kiya gaya hai. Khadim harmen Sharifin Shah Salman Bin Abdul Aziz ne Shahi farmaan jari kar ke mutadid faislay kiye hain. Saudi Press Agency ke mutabiq dar-ul-hukoomat Riyadh se jari honay walay Shahi farmaan ke mutabiq wazeer Civil Service Sulaiman Al-Hadan aur sarmaya kaari Authority ke sarbarah Ibrahim Al-Amer ko subukdosh kar diya gaya hai.

Khadim Harmin Shrifin ne wizarat Civil Service ko wizarat mehnat o samaji farogh mein zam karne ka faisla kiya hai. Dono wazaratoun ko zam karne ke baad nai wizarat ka naam wizarat Human Reserves o samaji farogh rakha jaye ga. Shahi farmaan mein mehakma sayahat o qaumi virsay ko wizarat mein tabdeel kar diya gaya hai aur nayi wizarat ka naam wizarat sayahat rakha jaye ga. Shah Salman ne Sports Authority ko wizarat mein tabdeel karne ka faisla kiya hai aur nayi wizarat ka naam wizarat Sports rakha jaye ga.

Shah Salman ne Shehzada Abdul Al-Aziz Bin Turki Bin Faisal Al Saud ko wazeer sports muqarrar kar diya hai. Shahi farmaan mein kaha gaya hai ke Majid Al-Haqeel ko wizarat baldiyat o dehi umoor ka qalam daan sonpa gaya hai. Wo apne sabiqa faraiz ke sath wizarat baldiyat ka kaam bhi karen ge. Khadim Harmin Sharifin ne wazeer it-tila-aat Turkey Al-Shabana ko subukdosh kar ke Dr.Majid Al-Qasabi ko wizarat ka qalam daan saump diya hai.

Shahi farmaan ke mutabiq Mohammad Bin Abdulullah Al-Ameel ko kabeena ke secretary general ka naib muqarrar kar diya gaya hai. Shah Salman ne Engineer Khalid Al-Falah ko wizarat sarmaya kaari jabkay Ahmed Al-Khatib ko wizarat seyahat ka qalam daan sonpa hai. –YTN STAFF