Thursday, May 2, 2024
HomeSliderSaudi Cyber security mein Arab duniya ka number one mulk

Saudi Cyber security mein Arab duniya ka number one mulk

Riyadh: Saudi Arab Cyber security ki be had pabandi karne walay Arab mumulk mein pehlay aur duniya bhar mein terhavi number par aa gaya hai. Is ki badolat sanat karoun aur tijarti duniya ki nazroun mein Saudi Arab ka muaqqaf bohat mazboot ho gaya hai. Tafseelaat ke mutabiq Saudi Company baraye computer SBM ke Executive Chairman Essam Al Shiha ne Oxford Business Group ko Interview dete hue kaha ke Saudi Arab Cyber security ke hawalay se darpaish khatraat se achi terhan aagah hai. Saudi Arab ne isi ehsas ke tehat 2017 mein Cyber security National Authority qaim ki thi.

Al Shiha ne kaha ke Saudi Arab ke sarkari idaray apne goshwaray, Data, Mukhtalif khidmaat aur sarkari khidmaat ki hifazat ke liye Cyber Security System mazboot bananay par badi tawajah day rahay hain. Al Shiha ne mustaqbil mein nai Saudi Digital Schemes ka tazkara karte hue kaha ke Saudi Arab 5G Network phelanay mein laga huva hai. Is ki badolat jadeed Technology se misali faida uthaya ja sakay ga. OBG mein Video aur taluqaat aama ke Marc-André de Blois ne kaha ke Al Shahi ne Saudi Arab mein digital ka manzar nama bohat achi terhan se wazeh kar diya hai. Un ki guftagu se ye baat saaf hogayi hai ke Saudi Arab mein teezi se tabdeelian aa rahi hain. Is ki badolat iqtisadi wasail ke tanawu mein madad milegi.

Yaad rahay ke duniya bhar ke mumulk Cyber Security par 2018 ke douran 96 Arab Dollar kharch kar chukay hain. 2017 ke douran Internet par cyber hamloun mein 600 feesad izafah huva. Sab se ziyada Cyber hamlay China se kiye gaye un ka tanasub 21 feesad record kiya gaya. America dosray number par raha jahan se Cyber hamlay 11 feesad hue. Brazil teesray number par raha jahan se 6 feesad cyber hamlay hue. –YTN STAFF