Thursday, May 9, 2024
HomeTrending NewsSaudi. China sefarati taluqaat ke 30 saal mukammal

Saudi. China sefarati taluqaat ke 30 saal mukammal

Riyadh: Saudi Arab aur China ne safarti taluqaat ke qiyam ki 30 we saalgirah ke mauqa par mushtarqa video seminar munaqqid kiya. Seminar ka unwan maazi ka jayezha aur mustaqbil ke liye amangin rakha gaya. Seminar mein Beijing mein Saudi aur Riyadh mein cheeni sefartkaroun ne shirkat ki.

Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq seminar ke incharge China Arab Studies Center ke ek professor ne kaha ke sefarati taluqaat ke qiyam ki saalgirah dono mulkoun ke liye Aziz hai. Hamein is mauqa par ahem tareekhi taluqaat aur roshan yaadoun ka ihyaa karkay mustaqbil ke hawalay se naye azaeem ka ezhaar karna huga.

Seminar mein China mein mutayyan Saudi safeer Turkey Al-Mady aur mumlikat mein China ke sabiq safeer Li Chengwen shareek hue. Saudi safeer ne kaha ke sabiq wazeer kharja shehzada Saud Al Faisal ne 1990 mein Saudi Arab aur China ke darmain mukammal sefarati taluqaat, Safra ke tabadlay aur siyasi o muashi ejlasoun ki dastaweez par dastakhat kiye they.

Saudi safeer ne kaha ke dono mulkoun ne 30 baras ke douran bahami taluqaat ke hawalay se record kamiyabiyan haasil ki hain. Tamam shobo mein taluqaat ustuwar ho chuke hain. January 2016 mein cheeni sadar ne mumlikat ka dora kiya tha. Is mauqa par aala sathi commission ke qiyam par dastakhat hue thay phir Shah Salman nay March 2017 mein China ka tareekhi dora kiya.

Saudi safeer ne mazeed kaha dono mulkoun ke taluqaat aur shiraakat ke rishte sarmaya kaari, Maeeshat, Taleem aur saqafat ke shobo mein musalsal urooj pazeer hain. Feb 2019 ke douran Saudi Wali Ahad ke dora China ne 2 tarfah taluqaat ko naye ufaq se roshnaas karaya. Saudi course mein cheeni zabaan ki shamoliat bahami taluqaat ke roshan mustaqbil ka pata deti hai.

Cheeni safeer ne guzashta 30 baras ke douran dono mulkoun ke darmain taluqaat ke irtiqa ki tafseelaat pesh karte hue kaha ke pehli baar China Saudi Arab ka sab se bada tijarti shareek ban gaya hai jabkay maghribi Asia aur shumali Africa main Saudi Arab China ka sab se bada tijarti shareek hai.