Friday, April 26, 2024
HomeOthersHealthSaudi awam ko Corona vaccine muft fraham karne ka mansoobah

Saudi awam ko Corona vaccine muft fraham karne ka mansoobah

Jeddah: Saudi wizarat sehat ka maqsad mulk mein 70 feesad shehrion aur tarkin-e-watan ko muft vaccine dainay ka iradah hai jo abhi tak coronavirus se mutasir nahi hue hain. Hukkaam umeed kar rahay hain ke aglay saal ke aakhir tak is zimn mein ka hadaf poora hojayega.

Wizarat ke Assistant under secretary baraay-e-ahteyat Dr Abdulllah ne kaha aane walay mahino mein jo log covid-19 se mutasir nahi hue hain unko vaccine muhim mein tarjeeh di jayegi.

Unhon ne mazeed kaha jab tak ke under 16 saal ki Umar ke afraad ko corona vaccine is waqt tak fraham nahi ki jayegi jab tak ke tehqiqaat ya test ka Nateeja is ki zaroorat ko saabit na kardey. Unhon ne mazeed kaha hai ke mumlikat anay walay hafton mein vaccine ki aamad ke wazeh schedule ka elaan karne ka iradah rakhti hai.

Bartania ne covaxin tanzeem ke zariye vaccine haasil karne ke liye 2 raastoun par kaam kiya, jiski tashkeel aur maali eaanat mein G20 ka kirdaar tha. Unhoun ne kaha Saudi arab is sahoolat ke zareya badi miqdaar mein vaccine haasil karega jabkay dosra rasta badi companiyon se barah-e-raast moahida karna hai taakay is khalaa ko poora kiya jasakay.

Covxin ek aalmi iqdaam hai jiska maqsad duniya bhar ke mumulk ko licence Yafta aur Manzoor honay ke baad mehfooz aur mo-asar vaccines ke liye masawi rasai fraham karna hai. Unhoun ne bataya ke mo-asar vaccine ke husool ke liye ek taweel tayari ka mansoobah aur sarbarahi chain ki zaroorat hoti hai aur is vaccine ke kayi mumulk mein badi miqdaar mein pohnchanay ke liye waqt darkaar hota hai. unhon ne mazeed kaha rawan saal jo kuch jari kiya jayega iski badi miqdaar mein dastyab honay ki tawaqqa nahi ki ja sakti hai.