Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderSaudi aur Japan ka samandari Traffic ki hifazat par ghor

Saudi aur Japan ka samandari Traffic ki hifazat par ghor

Riyadh: Saudi Arab ke Wali Ahad shehzada jo wazeer difaa ka aizaz bhi rakhtay hain, Unhoun ne Japan ke wazeer difaa ke sath difai shobo mein taawun aur samandari Traffic ki hifazat mein tabadlah khayaal kiya. Usay Saudi sarkari khabar rasan Agency SPA ne Report kiya hai.

SPA ne kaha hai Saudi ke Wali Ahad shehzada Mohammad bin Salman aur un ke Japan hum mansab wazeer Taro Kono ne ek phone call mein ilaqai salamti ke umoor aur samandari traffic ki hifazat ke iqdamaat ko yakeeni bananay ki koshisho par tabadlah khayaal kiya.

Doosri janib Saudi Press Agency ny ek bayan mein kaha Saudi Arab ke Shah Salman ny Bartanwi Wazeer-e-Azam Boris Johnson ke sath ek phone call kiya jis mein mukhtalif aur bahami umoor par tabadla khayaal kiya gaya hai.

Call ke douran unhoun ny G20 mumalik ke kaam ke baray mein tabadlah khayaal kiya, Jis ki Saudi is saal ki sadarat kar raha hai. Is ajlason mein coronavirus wabai amraaz ke asraat ko kam karne ke liye ki jaany wali koshisho par tabadlah khayaal kiya.

Shah Salman nay kaha ke inhen umeed hai ke G20 aalmi maeeshat ki madad ke liye wabai amraaz ke challenges ka muqaabla karne ke liye apni koshishen jari rakhay ga.

Bayan mein mazeed kaha gaya ke Johnson nay mumlikat ki G20 ajlason ki qayadat ki tareef ki aur wabai amraaz ke nataij ka muqaabla karne ke liye ijtimai karwai ka intizam kiya. Unhoun nay yeh bhi kaha ke inhen umeed hai ke un ke dono mumalik bahami taluqaat ko mazeed taraqqi aur mazboot banayen ge.