Wednesday, May 15, 2024
HomeLatest NewsSaudi Arabia mein online tijarat ko farogh, khawateen sab se agay

Saudi Arabia mein online tijarat ko farogh, khawateen sab se agay

Riyadh: Saudi arabia mein khawateen ke liye aaye din kuch na kuch sahuliyaat faraham ki jarahi hain jis ki wajah se khawateen zindagi ke taqreeban har shoba mein daakhil hoti jarahi hain aur ab khawateen ka online tijarat mein shandaar andaaz mein dakhla hua hai. Saudi arabia mein khawateen online kaarobar mein dilchaspi lainay lagen aur mulk bhar mein 50% online shops khawateen chala rahi hain .

Tafseelaat ke mutabiq Saudi arabia ke makhsoos halaat ke paish e nazar kaarobar ka yeh tareeqa khawateen ke liye ziyada mehfooz aur munasib maloom hota hai. Saudi arabia ke media se guftagu mein online tijarat karne wali ek khatoon Minal al-yahiya nay kaha ke beshtar online shops  un Maroof companiyon ki hain jin ki badi badi dukanein Saudi arabia ke mukhtalif shehron mein mojood hain. companies masnoaat ko rivaaj dainay ke liye internet ka istemaal kar rahi hain. is shobay mein qismat aazmai karne walay beshtar logoun ka shumaar chootey taajiroun mein hota hai. un mein khawateen sab se ziyada hain .

khatoon nay mazeed kaha ke ghar baithi khawateen apna farigh waqt online tijarat karti hain jis se munasib aamdani hojati hai. un khawateen ke paas itnay wasail nahi ke woh khud ko registered karwaen. Wizarat-e-tijarat wo sarmaya kaari ke tarjuman Abdul Rahman al-hussain nay wazeh kiya tha ke wizarat tijarat nay ibtidayi tor par online tijarat ko munazzam karne ke liye’ Maroof E-Form muhayya kiya hai. Saudi arabia mein qanooni tor par online tijarat ka wahid zareya yahi hai ke kisi bhi qisam ki tijarti sargarmi se pehlay khud ko Maroof mein registered karaya jaye. Maroof mein registered honay wali companiyon ko wizarat-e-tijarat mukhtalif qisam ki saholaten bhi faraham karti hai. unhoun nay bataya ke 30 hazaar se ziyada online shops  Maroof mein registered hain .

Saudi shehrion ke alawa ghair mulkion ko yahi mahswara diya ja raha hai ke woh kisi bhi online shop se koi cheez kharidne se qabal is baat ka jaiza le-len ke woh Maroof mein registered hai ya nahi. Maroof mein registered companiyon ka ek faida yeh bhi hai ke is mein tajir aur gahak dono ke haqooq ki zamanat di gayi hai. Wizarat-e-tijarat ke tarjuman Abdul Rahman al-hussein ke mutabiq registration ke baghair online tijarat karne par 10 laakh riyal jurmane ke alawa khilaaf warzi ki sangini ke mutabiq qaid ki saza bhi hosakti hai. is sakht saza ke bawajood aaj bhi social media par ghair licence Yafta idaray Saudi mumlikat mein apna kaarobar kar rahay hain .

wizarat-e-tijarat wo sarmaya kaari ke mutabiq khaleeji mumalik mein online tijarat taizi se farogh pa rahi hai. un mein Saudi arabia sare fehrist hai. mutahidda arab amarat dosray number par, teesray par misar, chouthay par kuwait, panchwin par Lebanon aur chathe par udan hai. Saudi communication board ki report ke mutabiq Saudi arabia mein internet ke zariye shopping karne walay salana chaar hazaar riyal fi kas kharch karte hain. adad wo shumaar ke mutabiq 42 feesad internet sarfeen online kharidari karte hain. Saudi wazeer tijarat wo sarmaya kaari Dr Majid al-Qasbi ke mutabiq Saudi arabia online tijarat karne walay 10 mumalik ki fehrist mein shaamil hai. business conference se khitaab karte hue unhon nay kaha ke guzashta saal Saudi arabia mein online tijarat ka hujum 8 crore riyal tha jabkay duniya bhar mein online tijarat ka hujum 30 trilion dollar ke qareeb hai .- YTN STAFF