Saturday, April 20, 2024
HomeSliderSaudi arabia mein har ghanta 7 talaqein, deegar muslim mumalik bhi masail...

Saudi arabia mein har ghanta 7 talaqein, deegar muslim mumalik bhi masail ka shikaar

Riyadh: Allah rab ul izzat ke nazdeek jaaiz amal mein sab se ziyada napasandeedah amal Talaq hai lekin muslim mumalik aur khaas kar Saudi arab mein har ghanta 7 Talaq horahee hain jo kay aalam islam ke liye tashweesh ka baais haqeeqat hai.

Tafseelaat ke mutabiq khaleeji taawun council ke mumulk may Talaq ke waqeat may kaafi izafah hua hai. Is tashweesh naak haqeeqat ke zimn mein har gosha se sawal uthaye jarahay hain. Media ne jo tafseelaat faraham ki hain un mein mahireen ke khayalat ki roshni mein kaha hai ke khaleeji mumulk mein Talaq ke barhatay hue waqeat ke 20 se ziyada asbaab hain.

Arab duniya ke sab se Maroof mulk Saudi arab mein har ghantay mein Talaq ke saat waqeat record per aaraha hain. Deegar mumulk mein Oman mein 18 hazaar shadian huien jabkay 3.7 hazaar Talaq ke waqeat bhi record hua hain. Bahrain mein saal 2019 ke douran 5 hazaar se ziyada nikah hue jabkay isi saal 2 hazaar se ziyada jodon ke darmiyan Talaq bhi hui hai. is sorat e haal se amarat mustasna hai jahan Talaq ke waqiyat ziyada nahi hue.

Saudi mehakma shumariyat ne kaha ke Saudi arab mein har ek ghantay mein Talaq ke saat waqeat record per aarahe hain. 10 shadion mein se teen ka nateeja Talaq par khatam horaha hai. Is ka matlab yeh hai ke ek tahai shadian nakaam horahee hain. Mehkama shumariyat ne mazeed kaha hai ke ek saal mein Talaq ke waqeat se 3.5 arab Riyal se ziyada ka maali nuqsaan hua. Yeh takhmeenah is bunyaad par lagaya gaya hai ke ek shadi par 60 hazaar Riyal ke lag bhag masarif bardasht kiye jatay hain.

Oman mein shumariyat ke qaumi markaz ne jo adaad shumaar jari kiye hain un mein saal 2019 ke douran mulk mein 18243 shadian huien jabkay 3728 talaqein huien. Is ka nateeja ye nikalta hai ke aakhri paanch barsoun ke douran Oman mein shadi ka tanasub mamooli tareen satah par pahonch gaya jabkay Talaq ke barhatay hue waqeat se lagta hai ke rozaanh 10 se ziyada talaqein horahee haora.

Bahrain ki wizarat insaaf wo islami umoor ne kaha hai ke saal 2019 mein 5.5 hazaar shadian ke adaad vo shumar darj karwaye gaye hain jabkay 2 hazaar se ziyada talqein bhi huien. Is ke bar-aks agar guzashta saal ka record dekha jaye to 2018 mein yahan taqreeban 6 hazaar shadian hui

theen jabkay ek hazaar Talaq record hui. Un haqayiq se zahir hota hai ke bahrain mein Talaq ka tanasub shadi ke muqablay mein 40 feesad se ziyada hogaya hai.
Mutahidda arab imarat ke sarkari zaraye ne kaha hai ke yahan 2020 ke pehlay chay mah ke douran Talaq ki sharah mein 51.4 feesad kami waqay hui. yeh adad wo shumaar aisay jodon ke baray mein hain jin mein fariqain ka talluq imarat se tha. Doosri janib ghair imarati jodon ke yahan Talaq ka taaluq hai to is 1.36 feesad kami waqay hui. Dubai shumariyat ke markaz ke mutabiq guzashta chaar barson ke douran Dubai mein Talaq ka tanasub 35 feesad kam hua hai. yeh ada wo shumar 2020 se 2019 ke darmiyan ke hain.

Kuwaiti wizarat-e-insaaf ne jaiza jari kiya jis mein bataya gaya ke 2020 mein Talaq ke 9.8 waqeeat  hazaar darj hue hai jabkay 2018 mein 7.5 hazaar talaqein hui theen aur ek saal baad 1331 aayi. Qatar mein mansoobah bandi wo shumariyat ke idaray ne jo haqayiq paish kiye hain iske mutabiq shadi aur Talaq ke waqeat mein kami hui hai. sarkari adad wo shumaar ke mutabiq qatar ke shehrion aur muqeem berooni afraad may shadion mein 38 feesad kam hui hai jabkay muqami shehrion aur bairooni afraad may Talaq ke waqeat salana ki bunyaad kam 75 feesad kam hue.

Mahireen ke mutabiq talaq ke 20 se ziyada asbab hain un mein numaya tareen asbaab muamlat, maali halaat, jinsi inhiraf aur shohar biwi ke taluqaat mein hum ahangi nah hona hai. Talaq ke numaya asbaab mein rishtedaaron ki mudakhlat, me noshi, gharelo tashadud, napasand shadi, rasam wo rivaaj ke ikhtilafat, be-tawajhi, uktahat, aulaad ka nah hona, shak, ghairat aur se ziada nikah nikhi bak wajohaat mein shaamil hai shamil hai.