Wednesday, May 15, 2024
HomeLatest NewsSaudi Arabia mein ab Pakistani dramoun ki nashriyat

Saudi Arabia mein ab Pakistani dramoun ki nashriyat

Saudi Arabia : Saudi Arabia  mein guzishta 3 saal se bohat badi tabdeelian aayi hain jis ke tehat wahan fashion aur filmi sanat ke liye bhi naye mawaqay paeda hue hain. Saudi Arabia  mein jahan guzashta baras khawateen ko driving ki ijazat di gayi thi wahein guzashta baras hi 35 saal baad cinema khole gaye they aur ab Saudi Arabia  mein Pakistani dramon ko arabi zabaan mein dubbed karkay Nashar kya jaye ga .

Guzashta baras nah sirf Saudi Arabia  mein filmon ko numayesh ki ijazat di gayi thi balkay wahan pehli martaba khawateen ke fashion week ka bhi ehtemaam kiya gaya tha aur Saudi Arabia  ki pehli khatoon stage adakara bhi samnay aayi theen. Saudi Arabia  mein cinema khole jaaney ke baad guzashta baras Pakistani film ki bhi numayesh ki gayi thi, taham ab jald hi Pakistani dramon ko bhi Saudi Arabia  ke mukhtalif TV channels par Nashar kiye jaaney ka imkaan hai .

Guzashta baras Saudi Arabia  mein Rahat Fatah Ali Khan ka bohat bada Concert hua tha aur April mein ek aur bohat bada Mela sajney wala hai jis mein Saudi mein mojood Pakistani tabqay ko bohat kuch dekhnay ka mauqa miley ga aur mutadid Pakistani fankar fun ka muzahira karenge .

Saudi Arabia  mein April 2018 mein pehli martaba fashion week ka ihtimaam kiya gaya tha. Saudi Arabia  ko Pakistani dramon ki farahmi ki paish kash ki hai aur jald hi Pakistani dramon ko arab zabaan mein dub karkay Saudi Arabia  ko faraham kardiye jayen ge. Pakistan ne Saudi airlines se darkhwast ki hai ke woh arabi mein dub ki gayi Pakistani filmoun ko tayyaron mein dikhaayen .

wazeer it-tila-aat ne Dafwah choudhry ne kaha hai ke Saudi Arabia  ki hukoomat ne Pakistani sarmaya karon ko Saudi Arabia  mein cinema bananay ki paish kash bhi ki hai aur is hawalay se Saudi hukoomat Pakistani sarmaya karon ke sath mukammal taawun karne ko tayyar hai .