Monday, July 7, 2025
HomeWorldSaudi Arabia : 13 hazaar khawateen ka tarbiyat ke liye indraaj

Saudi Arabia : 13 hazaar khawateen ka tarbiyat ke liye indraaj

Saudi Arabia ke shehar Al-Damam mein waqay Imam Abdul Rehman bin Faisal University ke driving school se ab tak 67 khawateen ko driving licence jaar y kiye ja chukay hain jabkay is school mein driving ki tarbiyat ke liye 13 hazaar khawateen nay –apne naamon ka indraaj karaya hai. is school se Saudi khawateen ko chay marahil mein driving licence jari kiye jarahay hain. Un mein ibtidayi registration, school ki web gaah par registration, tarbiati programme ke liye indraaj, nazri tarbiyat, amli tarbiyat aur mehakma traffic ko car chalanay ka imthehaan dena shaamil hain. is imthehaan mein kamyaab umeed waar vn ko license jari kardiya jata hai. jamea imam Abdul Rehman ban Faisal ke camps ki hudood hi mein khawateen ko driving ki nazri aur amli tarbiyat di ja rahi hai. licence ke husool ke liye darkhwast dainay wali khawateen ki Umar 18 saal ya is se zayd honi chahiye. unhein aik driving school mein apne naamon ke indraaj ke baad tarbiyat ke liye muqarara fees ada karna hogi. is driving school mein jari tarbiati programme ka dorania 27 ghantay ka hai. is mein paanch ghantay nazri tarbiyat, do ghantay traffic tahaffuz aur security qawaid wo zawabit par presentation aur 20 ghantay amli tarbiyat ke liye mukhtas kiye gaye hain. darkhwast guzaar khawateen mein beron malik se licence yaftgan bhi shaamil hain. woh apne ghair mulki license ko Saudi license se tabdeel karna chahti hain. aisi khawateen ko driving test ke marhalay se guzarna hoga. jin khawateen ke ghair mulki licence ki meyaad khatam hochuki hai, unhein chay ghantay ke tarbiati amal se guzarna hoga. agar woh driving ka imthehaan paas karliti hain to unhein fori tor par driving licence jari kardiya jaye ga. imthehaan mein nakaam rehne wali khawateen ko aik aur mauqa diya jaye ga. unhein mazeed chaar ghantay tak tarbiyat di jaye gi aur phir un se test liya jaye ga aur kamyabi ki soorat mein licensee jari kardiya jaye ga.