Sunday, April 28, 2024
HomeSliderSaudi Arab WhatsApp ka mehfooz mutabadil App bananay mein masroof

Saudi Arab WhatsApp ka mehfooz mutabadil App bananay mein masroof

Riyadh: Paighamaat ke liye is waqt duniya mein sab se maqbool aam App WhatsApp hai lekin Saudi Arab WhatsApp ka ek mehfooz mutabadil tayyar kar raha hai jis se khufia data ke tahaffuz ko yakeeni bananay mein madad miley gi. Saudi Arab zaraye ke bamujab muqami WhatsApp pegham rasani ki khidmat ghair mulki companiyon WhatsApp par inhisaar ko mehdood kere gi aur is baat ko yakeeni banaye gi ke koi bhi khufia ya hassas data muqami Servers par mehfooz hai.

King Abdulaziz City baraye Science and Technology ( KACST) mein Saudi Engineers aur mohqiqeen ki ek maahir team is mansoobay par kaam kar rahi hai. Tawaqqa hai ke Massages Platform ek saal mein tayyar hojaye ga aur sarfeen ko Facebook ke WhatsApp aur Tencent ke Wechat ke mutabadil ke tor par mehfooz mahol mein baat cheet karne ki sahoolat dastyab hogi.

KACST ke National Information Security Center ke Director Basil Al-Ameer ney kaha” Yeh Platform muqami tor par tayyar shuda khufia software aur Algorithm par taamer kiya ja raha hai jo usay security ke imkani nuqsanaat se bachaaye ga aur hifazat aur privacy ki aala degree haasil karne mein madad kere ga. Media ko jari ek bayan mein Basil Al-Ameer ney mazeed kaha hai ke Saudi sakhta platform bhi Audio aur Video ( matan aur sooti muwasilat ) dono ke mehfooz tabadlay ki zamanat day ga.

Unhoun neh mazeed kaha Saudi afradi qowat ke zareya teyar kardah App ka faida yeh hai ke yeh ghair mulki Agencies ke zair control bairooni servers se pak hai aur is wajah se raazdari ko yakeeni banaya jaye ga kyunkay bairooni Servers filhaal sarkari Agencies, Idaron aur companies ko nishana bana rahay hain halaank aam sarfeen is terhan ke khadshaat se mehfooz hain.

Riyadh ki King Saud University mein Cyber Security ke professor Mohammad Khurram Khan ne media se guftagu karte hue kaha waqai KACST ki janib se mehfooz file transfer aur multi media muwasilat ke liye desi platform tayyar karna ek bohat bada iqdaam hai jis ke bohat saaray fawaid hain. Unhoun ne mazeed kaha us se muqami salahiyaton ke liye mulazimaton ke naye mawaqay peda hon ge, Danishwaranah amlaak ki taraqqi hosakay, Sarkari aur khangi shobay ki tanzeemon ko aabadi ilaaqon mein mehfooz itlaq mil sakay aur muqami sarfeen ke liye do lasani muwasilat ka Interface pesh kiya jasakay. Is ke ilawa, Is ki muqami taraqqi is baat ko yakeeni banaye gi ke woh kisi bhi security hamlon se pak ho jo hackers ko cyber hamlon ki ijazat nahi day ga.