Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderSaudi Arab Palestine ke maslay ka munsifana aur mustaqil hal ka khwaahan

Saudi Arab Palestine ke maslay ka munsifana aur mustaqil hal ka khwaahan

Riyadh: Shah Salman nay Americi sadar Donald Trump ko phone par guftagu karte hue kaha ke Saudi Arab Palestine ke maslay ka ek munsifana aur mustaqil hal ke husool ke liye pur azm hai. Is khabar ka ittila Saudi Press Agency nay di hai. Report ke mutabiq Shah Salman nay phone call mein Salman nay mujawaza Arab aman iqdaam ka asal nuqta aaghaz kiya. 

Arab aman iqdaam ka aaghaz Saudi Arab neh 2002 mein kiya tha, Jis mein Arab aqwam neh Palestine se reyasti muahiday ke aiwaz Israel ko taluqaat mamool par laane ki pesh kash ki thi aur 1967 mein maqboza ilaqa se Israel ki mukammal wapsi is mein shaamil hai.

Is Report mein kaha gaya hai ke Shah Salman ney mashriq wasti mein aman ke husool ke liye America ki koshisho par bhi un ki tareef ki. Dono aalmi rehnumao ney rawan saal mumlikat ki zair sadarat Group Of Twenty ( G20 ) mumalik ke kaam ke sath Covid-19 wabai amraaz ke asraat ko kam karne ke liye jaan-o-maal ke tahaffuz ke liye ki jany wali koshisho ke baray mein bhi tabadlah khayaal kiya. Shah Salman ney is baat ki tasdeeq ki ke G20 ki Saudi sadarat, Is giroh ki insani aur muashi satah par waba ke asraat ka muqaabla karne ki koshisho ki himayat aur hum ahangi jari rakhay gi.

Covid–19 ke nateejay mein duniya bhar mein naqal-o-harkat par pabandion ke bawajood, G20 rehnumao ne mushtael coronavirus wabai marz se nimatnay ke liye iqdamaat karne ke liye Virtual Meeting kee. Guzashta July mein ek Online ijlaas mein Saudi Arab ne waqfay waqfay se Challenges se nimatnay aur aalmi maeeshat ko farogh dainay ke liye tamam dastyab policy tools istemaal karne ka wada karte huve G20 ki badi mayeshton ki qayadat ki. Saudi aur America ke darmain honay wali Telephonic guftagu mein Shah Salman ne Trump ko bataya ke Saudi Arab Palestine ke maslay ke munsifana hal ke leye pur azm hai.