Monday, April 21, 2025
HomeSliderSaudi Arab ne Lebanon ko kabhi faramosh nahi kiya: Fahmi

Saudi Arab ne Lebanon ko kabhi faramosh nahi kiya: Fahmi

Riyadh: Lebnani wazeer-e-dakhla Brigadier Mohammad Fahmi ne kaha hai ke Saudi Arab ne Lebanon ko kabhi faramosh nahi kiya. Mumlikat hi khittay ki bunyaad hai. Website ke mutabiq Mohammad Fahmi ne Lebnani bhaiyon ke liye 120 ton imdadi samaan le jaaney walay Saudi tayyaron ke Beirut pounchanay par Arab media se guftagu mein kaha ke Beirut bandargaah ke dhamakay ke baad Lebanon ke liye Saudi Arab ki taraf se barq-e raftari se imdadi samaan ki farahmi par Lebanon ko herat nahi huvi. Ye fitri amar hai ke Saudi Arab hamein pehli fursat mein imdaad se nawazay.

Lebnani wazeer-e-dakhla ne kaha ke Saudi Arab taweel zamane se hamari madad kar raha hai. Ab bhi iqtisadi aur maali imdaad se nawaz raha hai. Saudi imdaad ko kabhi faramosh nahi karen ge. Saudi Arab aur Lebanon mazboot gehray rishte se judey hue hain. Lebnani wazeer-e-dakhla ne kaha ke Saudi Arab 60 baras se Lebanon ki taamer no mein hissa le raha hai. Unhoun ne arzoo zahir ki ke nai Saudi imdaad Lebanon ke siyasi manzar naame ko behtar bananay mein muawin saabit hogi.

Lebnani wazeer-e-dakhla ne dono mulkon ke baradarana taluqaat ki tareef karte hue kaha ke Saudi Arab hi khittay ki asal kuleed hai. Yaad rahay ke Shah Salman ke hukum par 2 Saudi tayyaray imdadi samaan le kar Beirut International Airport puhanche. Un par 120 ton imdadi samaan lada huwa hai. Imdadi samaan mein masnoi tanfs ke alaat, Intahi nighdasht ke kaam anay wali medical Machines, Anwaa-o-aqsam ki adwiyah, Anti Biotic, Sanitizer, Mask, Tibbi lawazmaat, Khanay peenay ki ashya, Khaimay aur kambal shaamil hain.