Monday, May 20, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab mein Summer Festival ki tayariyaan

Saudi Arab mein Summer Festival ki tayariyaan

Riyadh: Saudi wazeer sayahat Ahmed Al Khatib ne kaha hai ke mumlikat ke 10 maqamat par Summer Festival munaqqid karne ke hawalay se tayariyaan ki jarahi hain. Wazeer sayahat ne Saudi Summer Fisteval se mutaliq online tayari ijlaas ke douran kaha kay Saudi Arab pur-kashish maqamat, Jaazib nazar shehroun aur qudrati manazair ki soorat mein kamyaab sayahat ki bohat saari khususiyaat ka maalik hai.

Al-Khatib neh kaha ke sayahat ke shobay se shehrioun ko rozgaar ke mawaqay bhi misar aayenge jabkay qaumi pedawar mein izafah bhi hoga. Unhoun neh mazeed kaha Saudi Arab mein 10 hazaar tareekhi maqamat hain. Un mein se 5 UNISCO mein azeem ul shan insani tareekhi virsay ke tor par darj hain. Al-Khatib neh kaha ke khangi idaara hi Saudi Arab mein sayahat ko farogh daga jahan tak sayahati packages ka talluq hai to talabb aur rasad ke usool par sayahati programs ke narkh muqarrar hon ge. Tasalii ki baat ye hai ke hamaray yahan hotels aur Furnished Apartments ke ilawa khangi makanaat bhi sayah alawa khangi makanaat bhi sayaho ke liye keraye par dasteyab hain.

Saudi mehakma sayahat ke sarbarah Fahad Hameeduddin neh kaha kay taweel lockdown ki wajah se shehri aur Saudi Arab mein muqeem ghair mulki zehni thakaan mehsoos karne lagey hain. Aksar dakhli sayahat ki khawahish zahir kar rahay hain. Companian is mauqa se faida uthasakti hain is hawalay se un ki hosla afzai ki jarahi hai. Fahd Hameeduddin neh kaha kay dakhli sayahat ke shaiqeen saheli shehroun, Kashtiyoun aur qudrati manazair se malaa maal maqamat se mutaliq maloomat jama kar rahay hain. Ye sab kuch hum sayahati companies ko muft pesh kar rahay hain.

Amsal Saudi Summer Fisteval ka Slogan’ ( khuli hawaon mein saans len ) hoga. House isolation ke halaat se guzarne ke baad logoun ko dil behlaane aur band maqamat par AC ke mahol se nikal kar taaza huwa mein saans laine ki zaroorat ke pesh e nazar muntakhib kiya gaya hai.

Saudi mehakma sayahat ne chand roz qabal tayyar ki jaane wali ek jaizay ki report ke hawalay se bataya ke 81 feesad Saudi dakhli sayahat ke mushtak hain. 38 feesad ne is ka sabab ye bayan kiya tha ke dakhli sayahat ahal khanah ke liye mehfooz saabit hogi. 29 feesad Saudi bashindoun ka maanna hai ke wo Saudi Arab ke qudrati manazair se lutaf uthana chahtay hain.
Jaizay mein ye bhi bataya gaya tha ke corona ki waba ke pesh e nazar 80 feesad loog Europe Asia mumalik ke safar se guraiz karen ge jabkay 57 feesad ne fazai safar ki baabat tashweesh ka izhaar kiya hai.