Tuesday, May 14, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab mein sonay ki pedawar 143 feesad badh gayi

Saudi Arab mein sonay ki pedawar 143 feesad badh gayi

Riyadh: Saudi Arab mein vision 2030 ke baais sonay ki pedawar 143 feesad badh gayi hai. 2016 mein sonay ki pedawar 7.3 hazaar kilogram thi. ye 2019 mein badh kar 12.35 hazaar kilogram tak poanch gayi. Tafseelaat ke mutabiq Saudi vision mein kaan kinny ke shobay ke farogh aur qaumi maeeshat mein is ka hissa badhaane par tavajja markooz ki gayi. Wali Ahad chahtay hain ke Saudi Arab mein madniyaat ko petrol ka mutabadil bana diya jaye.

Wizarat tawanai ki janib se jari kardah adaad o shumaar ke mutabiq 2019 ke douran Saudi Arab mein sonay ki pedawar 5 feesad badh gayi. Guzashta 10 baras ke douran Saudi Arab mein sonay ki pedawar mein 176 feesad izafah huwa hai. Saal 2009 mein Saudi Arab 4.86 hazaar kilogram sona nikaal raha tha. Ab pedawar badh kar 7.88 hazaar kilogram tak poanch gayi hai.

Saudi Arab ney 2019 ke douran chandi ki pedawar mein bhi 5 feesad ka izafah kiya hai. Saudi vision 2030 ke baad se Saudi Arab mein chandi ki pedawar 24 feesad badhi hai. 2015 mein chandi ki pedawar 4.5 hazaar kilogram thi. Mumlikat mein 2019 mein tanbay ki pedawar mein bhi 5 feesad izafah huwa hai.

Saudi vision ke baad se mumlikat mein tanbay ki pedawar 37 feesad badh gayi. Saudi Arab mein zank ki pedawar mein 2019 mein 5 feesad ( 900 ton ) ka izafah huwa. 2018 mein zank ki pedawar 18 hazaar ton record ki gayi thi jo 2019 mein badh kar 18.9 hazaar ton hogayi.

Yaad rahay ke Wali Ahad shehzada Mohammad Bin Salman TV program mein keh chuke hain ke mumlikat ke paas 1.3 trilion dollar maliyat ke maadni zakhair mojood hain. Un mein 240 Arab dollar maliyat ka sirf sona hai.