Sunday, May 11, 2025
HomeSliderSaudi arab mein shadi ke liye 18 baras ki Umar ke qanoon...

Saudi arab mein shadi ke liye 18 baras ki Umar ke qanoon ka mutalba

Riyadh: Saudi human rights commission ne mutalba kiya hai ke shadi ki Umar 18 baras muqarrar ki jaye, isse qabal ladke ya ladki ko shadi ki ijazat nahi di jaye.

Tafseelaat ke mutabiq insani huqooq ke idaray ne wazeh kiya hai ke shadi ke liye 18 baras ki Umar huqooq atfaal se mutaliq bain ul aqwami maahdon aur Saudi arab ke qawaneen ke aaen mutabiq hai.

Saudi arab tahaffuz atfaal ke bain ul aqwami maahdon par dastakhat kiye hue hai. un mein takeed ki gayi hai ke bacha wo hai jiski Umar 18 baras se ziyada na ho. Saudi human rights commission ne tavajja dilae ke 18 baras se kam Umar ki shadi ke kiya kuch nuqsanaat honge is hawalay se commission ne mutadid idaron ke sath milkar halaat ka geherai se mutalea kiya hai.

Human rights commission ne bataya ke tahaffuz atfaal qanoon ke mutabiq walidain par ye pabandi aaed kardi gayi hai ke woh 18 baras tak apne bachon ki nigahdasht, tarbiyat aur dekh bhaal karen. bachoun ke huqooq ka tahaffuz karen. inhen zurori sahulatein muhayia karen aur inhen kisi bhi tarhan ki koi takleef ya laparwai se bachayen.

Human Rights Commission ne zor diya ke 18 baras se kam Umar ki shadi par pabandi ki qanoon saazi zururi hai. aisa karkay hi khandan bananay se mutaliq aulaad ke haquq ko tahaffuz milsakayga. 18 baras ke ladke hi rishta zojiat ke takhazey pooray kar saktay hain aur chain wo sukoon ke sath faraiz zojiat anjaam day sakte hai.

Human rights commission ke mutabiq mo-atbar mutalaat se ye baat saabit hochuki hai ke kam Umri ki shadi se jismani wo zehni nuqsanaat hotay hain. shadi isi waqt behtar hoti hai jab dulha aur dulhan dono jismani aur zehni tor par mukammal hochukay hun. aisa na honay ki soorat mein shadi ladke aur ladki dono ke liye wabaal ban sakti hai. –YTN STAFF