Sunday, May 11, 2025
HomeSliderSaudi arab mein sab se badey quran ka sang-e-mar-mar model nasb karne...

Saudi arab mein sab se badey quran ka sang-e-mar-mar model nasb karne ki tayyariyan

Riyadh : Saudi arab mein aaye din kuch na kuch naya karne ki koshish ki jati hai aur ab quran pak ka sab se bada sang-e-mar mar ka model nasb karne ka elaan hua hai aur yeh model 36 meter ooncha hai.

Sang-e-mar mar ke 5 minaroun mein quran pak ki ayaat kunda hain. tafseelaat ke mutabiq ek arsay se yeh sawal mojood tha ke duniya bhar mein quran pak ka sab se bada model kahan nasb kiya jaye?

Is hawalay se yeh to tey tha ke yeh model muqaddas shehar Mecca Mukarramah mein nasb kiya jayega.

Mecca Mukaramah mein is hawalay se 3 maqamat tajweez kiye gaye they. teesray circular road se mut-tasil mecca Jeddah shahrah ka choraha, dosra al haseena park aur teesra al Mufasala mein al zala al gharbi ka maidan shaamil tha. Quran-e-pak ka sab se bada aalmi model al hamra ke qareeb teesray circular road se mut-tasil Jeddah mecca shahrah ke chaurahe par nasb karne ka quwwat imkaan hai. is mansoobay par amal daraamad aindah 2 mah ke andar shuru kar diya jayega.

Concrete ke 5 sutunoun mein tiles lagaye jayenge 12 mah tak model ki tanseeb ka marhala mukammal hoga aur yeh door door se nazar aayega.

Quran kareem ke sab se bade model ki kahani kab aur kahan se shuru hui aur kab aur kis tarah sang-e-marmar ko tarash kar quran-e-kareem naqsh kiya gaya, is hawale se bataya jaata hai ke Scendriya university may funoon jumliya colleges ke dean funkar professor Mohammad Shaker ne 3 baras qabal apne talba ko ye zimmedari  tafweez ki thi.

. Inhen hidaayat di gayi thi ke woh 600 baras puranay sang-e-mar mar par quran pak naqsh karen. SU mein fanoon Jamila ke talba ne yeh ka meem Ahsen shakal mein anjaam diya. is tarhan duniya mein quran-e-pak ka sab se bada model tayyar hogaya.

Jeddah ke sabiq mayor neh ye model khareed kar chand baras qabal Mecca Mukarama Muncipality ko tohfay ke tor par pesh kardiya tha. tab se yeh Muncipality ke godaam mein rakha hua hai. Quran-e-pak ka ye model sang-e-mar mar ke 5 sutunoun ka majmoa hai. har ek ka Raqba 2×2 meter hai. concrete ka stand bananay par iski oonchai 36 meter hojayegi. Iski chowdai 24 meter hai. usay lafz al jalal ki shakal par banaya gaya hai. Al jalal Allah ke naamoun mein se ek hai. –YTN STAFF