Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsSaudi Arab mein Roosi vaccine ke tajarbaat, Hosla afzaa nataij

Saudi Arab mein Roosi vaccine ke tajarbaat, Hosla afzaa nataij

Riyadh: Saudi Arab Roos ki janib se banai janey wali vaccine ki tayari mein ahem kirdaar ada karne ke liye tayyar hai. Tafseelaat ke mutabiq Roos ki janib se corona vaccine ki insanoun par tajarbay ke pehlay marhalay ke hosla afzaa nataij samnay aaye hain.

Ek mah par muheet vaccine ka 38 afraad par tajarbay ka pehla marhala is haftay mukammal huwa aur ab dosray marhalay mein is ka 100 logoun par tajurbah jari hai. Russians Direct Investment Fund ( RDIF ) ke sarbarah Kirill Dmitriev ne kaha hai ke Saudi Arab vaccine ke trial ke teesray marhalay ka hissa ban sakta hai jo ke August mai shuru huga.

Kirill Dmitriev ne mazeed kaha ke hum nah sirf Roos ke vaccine ke teesray marhalay ke trial Saudi Arab mein karne par baat cheet kar rahay hain balkay Saudi Arab ne pehlay se hi Roosi dawa Avifavir khareed chuka hai aur hum vaccine ki Saudi Arab mein tayari par bhi baat cheet kar rahay hain.

Avifavir shadeed flow ke ilaaj ke liye istemaal honay wali dawa hai jo kay corona ke ilaaj ke liye clinical trial ke douran mo-asar saabit huwa hai. RDIF ke sarbarah ney Saudi Arab aur Roos ke darmain jari taawun ka kher muqaddam kiya aur kaha ke ye 2 aqwam ke darmain misbet taawun ki ek misaal hai. RDIF aur Saudi Arab sarmaya kaari ke kayi ek mansoboun par ikhatay kaam kar chuke hain.

Hum Saudi Arab ko Roos ka ek ahem saathi samajte hain aur hamaray darmain vaccine ke hawalay se bohat aaccha taawun hai aur is ka trial Saudi Arab mein ho sakta hai. Hum apne Saudi saathi ke sath dawa ki Saudi Arab mein tayari ke hawalay se baat cheet ke liye tayyar hain. Khayaal rahay ke ye vaccine Gamaleya Institute of Epidemiology aur Microbiology ne Roos ke wizarat difaa ke taawun se tayyar ki hai.

Dmitriev ke mutabiq ibtidayi tajarbaat mein vaccine mehfooz aur mo-asar saabit huvi hai aur inhen umeed hai ke usay August mein istemaal ki ijazat day di jaye gi. Agar aisa huwa to ye duniya ki pehli vaccine hogi. Roos is vaccine ki 3 crore khorakin is saal mulk mein hi aur mazeed 1 crore sattar lakh khorakin mashriq wasti aur lateeni America sameit duniya ke deegar mumalik mein tayyar karne ki mansoobah bandi kar raha hai.