Monday, May 20, 2024
HomeSliderSaudi Arab mein qabil aitraaz libaas pahannay par 200 se ziyada afraad...

Saudi Arab mein qabil aitraaz libaas pahannay par 200 se ziyada afraad giraftar

Riyadh: Saudi Arab mein masharti eqdaar mein narmi o dheel ke baad pehlay crack down mein 200 se zayed afraad ko na munasib libaas pahannay aur harasani ke jurm mein giraftar kiya gaya hai. Aalmi media mein shaya francesi khabar rasan agency ki report ke mutabiq, Riyadh ki police ne samaji rabita ki Website Twitter par kiye gaye mukhtalif Twits mein kaha ke guzashta hafta ke douran 120 khawateen aur mardoun ko qabil aitraaz libaas pahannay sameit awaami maqamat par ikhlaqiaat ko majrooh karne ke jurm mein giraftar kiya gaya.

Twits mein mazeed kaha gaha ke khilaaf warzi karne walay afraad par ghair mutayyan kardah jurmane aed kiye gaye. Doosri janib police ne alehda bayanaat mein kaha ke kayi khawateen ki janib se social media par shikayat ki gayi thi ke inhen Riyadh mein MD Oil  best Festival ke douran harasan kiya gaya tha jis ke baad harasani ke mukhtalif muqadmaat mein 88 afraad ko giraftar kiya gaya.

Riyadh mein munaqqid kiye gaye electronic music festival mein hazaroun afraad ne shirkat ki thi jisay muntazmeen ne Saudi Arab ka sab se bada music festival qarar diya tha. Taham police ne giraftaryoun ki muddat se mutaliq mazeed koi tafseelaat bayan nahi kee.

Khayaal rahay ke Wali Ahad Mohammad Bin Salman ki janib se Saudi Arab mein social media par pabandioun mein kami, Cinema par dahaiyo se aed pabandi hataane, Khawateen ko Driving ki ijazat dainay aur sports festival mein shirkat ki ijazat dainay ke baad ye is noiyat ka pehla crack down hai.

Saudi tourism authority ki angrezi zabaan ki Website par jari hidaayat mein kaha gaya ke mard aur khawateen chust libaas pahannay ya kisi gustakhana zabaan ya tasaveer par mabni libaas pahannay se guraiz karen. Is mein mazeed kaha gaya hai ke khawateen ko awaami maqamat par apne kaandhoun aur khutnoun ko dhanpna chahiye. Awaami shaistagi se mutaliq hidayat April mein kabeena ki janib se manzoor ki gayeen then jinhein baday pemanay par mabham samgha gaya tha aur is se awam mein tashweesh peda hogayi hai ke inhen tarjamani karni padegi. Is ke sath hi awam mein ikhlaqiaat ki policy ke khadshaat bhi peda hogaye hain. –YTN STAFF