Riyadh: Saudi Arab mein pehli martaba razakaar khawateen Al Ahsa ki jamia Masajid mein safai aur Sanitizing kar rahi hain. Al Akhbari channel ke mutabiq Al Ahsa mein saqafati anjuman ke matehat ek raza karana team corona waba ke aaghaz mein qaim ki gayi thi.
Khawateen ab tak 5 shobo mein raza karana khidmaat injaam day chuki hain. Masajid ki Sanitizing ka kaam sab se aakhir mein injaam diya gaya. Razakaar khawateen ne namazyoun ki sahet o salamti ki khatir hifazati iqdamaat aur tadabeer par amal daraamad mein bhi hissa liya hai.
Razakaar team ko Samu Al-Tuwi ka naam diya gaya hai ju samaaj ki maroof khawateen aur ladkiyoun par mushtamil hai. Ye team muashray mein misbet eqdaar aur tahazeeb o tamaddun wali rasmen injaam day rahi hai. Razakaar khawateen mehakma Masajid o dawat o rahnumai ke sath bhi taawun kar rahi hain.