Riyadh: Saudi Arab mein khawateen ke liye haliya dinoun mein kayi ek kamoun ki ijazat di hai aur ab wo taash ke muqabloun mein shirkat karen gi. Saudi hukoomat ne khawateen ko pehli martaba taash ke hone walay muqabloun mein shirkat ki ijazat bhi day di. Saudi Arab ki Entertainment Authority ke mutabiq pehli martaba har saal munaqqid hone walay taash ke muqablay mein khawateen ko shirkat ki ijazat di gayi hai. Saudi Arab mein har saal taash ka Tournament munaqqid hota hai jis mein mulk bhar se omar raseedah afraad sameit nojawan afraad bhi shareek hote hain aur apni mahaarat dikhata hain.
Is martaba bhi mah Feb ke pehlay haftay mein taash ke Tournament ka akaaz huga jis mein pehli bar khawateen khiladioun ko bhi shirkat ki ijazat di gayi hai. Saudi Arab mein aam tor par khawateen taash ke pattoun ke sath khelti dikhayi deti rahi hain taham inhen pehlay gharoun ya khawateen ki mahfel mein taash khailne ki ijazat di gayi thi. Saudi Entertainment Authority ke mutabiq taash ke pattoun ki Championship ka aaghaz 6 Feb se hoga jo 15 Feb tak jari rahegi aur pehli baar is Tournament mein khawateen bhi shareek hongi.
Ye wazeh nahi hai ke khawateen khiladi mard kheladioun ke sath muqaabla karen gi ya Tournament mein mard o khawateen ki mushtarqa temen banai jayen gi. Mumkin hai ke Tournament mein khawateen ke liye allag temen hon aur un ka muqaabla khawateen se hi hoga taham is hawalay se Entrertainment Authority ne wazeh nahi kiya taham is baat ki tasdeeq ki hai ke pehli baar Championship mein khawateen shirkat karengi.
Saudi Entrertainment Authority ke mutabiq is saal taash ke pattoun ki Championship mein majmoi tor par mulk bhar se 16 hazaar 384 khiladi shareek hon ge aur ek haftay se zayed rehne walay muqabloun mein 8 hazaar 192 khail pesh kiye jayen ge. Taash ke muqablay mein shareek hone walay khiladioun ke liye omar ki hadd 18 saal se zayed rakhi gayi hai taham khiladioun ki aakhri omar ki hadd koi nahi. Is martaba Tournament ke douran 20 lakh Riyal se ziyada ki raqam jeetne waloun mein takseem ki jaye gi. –YTN STAFF